sawaal az :+9199978....
Salam alaikum..kya hindu ki shop par cake banwa sakte hain ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهagar is tarah banaa'ae ke ous ke haath ya badan ki rotubat ( tari ) ous par lage ( gharon me roti pakaane ki tarah ) yaa jaanwar ki charbi ( fat ) daale to najis hai aur ous ka khaana haraam hai
( tandur waghiyrah ke zariae khushk hone se paak nahi hoga )
lekin agar is tarah banaa'ae ke ous ke haath ya badan ki tari na lage masalan saara kaam machine ( device ) ke zariae ho aur jaanwar ki charbi ka istemaal na kare to wo paak hai, khaane me haraj nahi hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔29 / شعبان / 1442 ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment