Sawaal az : Mohtarama janaab Falak Zehra s.b ( Up / varanasi )
ASSLAM ALEKUM
Keya ghusl-e-janabat ke baad wazu waajib hai
Namaaz aur quraan padhne ke liye
AYATULLAH SISTANI SHB
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
ghusle janaabat ke baad ( ghusl baatil hone ke pahle ) namaaz ke liae wozu waajib nahi hai balke ghair shar'ei aur naa jaa'aez hai ( bid'at wa haraam hai )
yahi ghusl namaaz ke liae kaafi hai
telaawate qur'aan karim, doa padhne aur talabe haajat ... ke liae ghusl yaa wozu karna zaruri nahi hai albatta ghusl yaa wozu kar ke ( baa tahaarat ) oun ko anjaam dene ka sawaab zeyaadah hai, oun ke kamaal ka sabab hai
Note :
- haalate janaabat me yaa wozu kiae beghair qur'aan hakim ki tahrir ( horuf wa aayaat ) ko mas karna ( chhuna ) haraam hai
- agar ghusle janaabat karte waqt kisi ne koei aysa kaam kiya jis se wozu baatil ho jaata hai ( jayse peshaab karna yaa reyaah khaarij hona ...) to ghusl dobaarah shoru karna zaruri nahi hoga ghusl ko mokammal kar le ghusl sahih hai albatta is surat me namaaz padhne ke liae benaabar aehteyaate waajib wozu karna zaruri hai
- ous reyaah ( hawa wa gas ) se wozu tut jaata hai jo mede wa aanton ki ho aur paakhaane ki jagah se khaarij ho lehaaza agar reyaah rahim ki ho aur farj ( aage ke hisse ) se nikle yaa wo hawa ho jo munh ( منہ ) ke raaste khaarij ho ( dakaar lena ) to oun ( donon ke nikalne wa khaarij hone ) se wozu baatil nahi hoga
isi tarah haalate janaabat me sura / aayaate sajda'ae waajib padhna haraam hai
Natijah :
ghusl karte waqt agar hawa farj yaa munh ke raaste nikal jaa'ae to namaaz ke liae wozu karna zaruri nahi hai
mazid maalumaat ke liae niche recommend kiae gae jawaab ko molaaheza farma len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
16 / رمضان المبارک / 1442ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment