sawaal az +91 87558 .....
Salamunaleykum
Ek sawal hai
Kya non muslim ki shop se kachcha paneer leke use dho ke khaa sakte hai
taqlid Sistani shab
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar ghair muslim se moraad ahle ketaab hain jayse eisaaei, yahudi aur zartush'ti / zardushti to wo paak hain agar oun ka tar haath panir par lag jaa'ae to najis nahi hoga paak hai dho'ae beghir khaa sakte hain
lekin agr ghair muslim se moraad kaafir, but parast aur mushrik hain to wo najis hain agar oun ka gila haath panir par lag jaa'ae to panir najis ho jaae gaa paak kar ke ( dho kar ) khaa sakte hain
agar oun ka tar haath nahi laga hai to dho'ae beghair khaa sakte hain
Niche recommend kiae gae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔15 / رمضان المبارک / 1442ھ.ق
روز ولادت با سعادت کریم اہل بیت امام حسن ( سلام الله عليهم )
No comments:
Comment