sawaal az : mohtaram janaab syed mehdi raza sb / patna
Salam
mera ek sawal hai kya bete ko apne baap ke qabra per mitti dalni chahiye ya nahi kya masla hai zara wazahat kar den
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهMokhtasar jawaab :
makruh hai yaani na daalna wa tark behtar hai
Qadre tafsili jawaab :
makruh hai ke may'yit ke qaribi rishte daar ( jayse beta, baap, maa, bhaaei aur bahen ... ) ous ki qabr par mit'ti daalen is liae ke may'yit ke qaribi rishtedaar ka ous ki qabr par mit'ti daalna qasaawate qalbi wa dil ki sakhti ka sabab hai
imaam saadiq ( عليه السلام ) ka irshaade geraami hai :
۔...اَنهَاكُم اَن تَطرَحُوا التُّرَابَ عَلَى ذَوِى اَرحَامِكُم فَاِنَّ ذَالِكَ يُورِثُ القَسوَةَ فِى القَلبِ وَمَن قَسَا قَلبُهُ بَعُدَ مِن رَبِّهِ
Mafhum :
"...mai tumhen tumhaare khuni wa miraas paane waale rishtedaar ke janaaze par mit'ti daalne se mana karta hun is liae ke is kaam ke sabab dil sakht ho jaata hai aur jis ka dil sakht ( sang'dil ) ho jaa'ae wo apne parwar'degaar se dur ho jaa'ae ga"
hadise mobaarakah me momaana'at se moraad haraam nahi hai balke makruh hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔8 / رمضان المبارک / 1442ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment