wozu karne me kisi se madad lene ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, March 19, 2021

wozu karne me kisi se madad lene ka hukm

sawaal az :+917275....


Moulana Sahab Assalam-o-alaikum Aap se mera ek sawaal tha ki mere pair me fracture ho gaya hai aur mujhe namaaz padhna hai to main tayamum kar ke padh sakta hun

Kyun ki paani ki problem to nahi hai karne ki problem hai kisi ko zahmat dene se bahtar hoga


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

Aap ne nahi bataaya ke mushkil keya hai ?


bahar kaif 2 suraten hain :


  1. Aap khud wozu nahi kar sakte hain yaani apne aazaa'ae wozu ko khud nahi dho sakte hain aur sar wa pairon ka mas'h ( مسح ) nahi kar sakte

  2. khud wozu kar sakte hain yaani aazaa'ae wozu khud dho sakte hain aur mas'h kar sakte hain lekin khud paani nahi laa sakte hain, garm nahi kar sakte hain, wozu ke paani ka lota waghairah nahi pakad sakte hain, aazaa'ae wozu par paani nahi daal sakte hain, paani dalwaane wa aun'delne me dusre se madad len

pahli surat me kisi ko masalan biwi, aulaad, bhaa'ei, bahen, dost waghairah ko naa'aeb banaana zaruri hai taake naa'aeb wa madad karne waala aap ke aazaa'ae wozu khud dho'ae wa mas'h kare


lekin wozu ki niyat aap khud karen


waazeh ho ke bela ouzr madad karne waala wozu karne waale ke aaza khud dho'ae to wozu baatil hai


dusri surat me ouzr dar pesh ho ya na ho kisi se madad le sakte hain aur maang sakte hain


lekin ouzr ke beghair madad lena makruh hai


donon suraton me bela ouzr wa majburi tayammum nahi kar sakte hain


( mazid tafsilaat tauzihul masaa'ael me dekh len )


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔5 / شعبان / 1442ھ.ق

🌷🌷🌷🌷🌷

روز ولادت با سعادت فخرالساجدین، امام العابدین، امام سجاد ( عليه السلام )۔

🌷🌷🌷🌷🌷

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen