Qur'aan mokhaalif petition daakhil karne ke pichhe kaun ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, March 15, 2021

Qur'aan mokhaalif petition daakhil karne ke pichhe kaun ?

اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبائیں


باسمه جلت اسمائه


Haathi ke daant dekhaane ke aur khaane ke aur


Guzishta dino jab aek gustaakh shakhs ne qur'aan-e-kareem par hamla kiya aur qur'aan-e-hakim ki 26 aayaton ke baare me supreme Court me petition daakhil karne ka aelaan kiya to mujhe hairaani nahi huei keyon ke is se pahle bhi zamir aur saalim fitrat ke dushmano ki taraf se qur'aan-e-hakim par kaafi aeteraazaat kiae gae lekin wo gal-sad gae aur rasul-e-akram ( صلى الله عليه وآله ) ke mojezaat me se sabse bada mojeza qur'aan baaqi wa zinda hai aur qeyaamat tak zinda rahega


Qur'aan-e-majid par haaliya aeteraaz karne waale shakhs ka bhi kuchh aisa hi anjaam hota nazar aata hai jaisa ke maazi me aeteraaz wa tauhin karne waalon ka hua


lekin sawaal ye paida hota hai aur ye sawaal bunyaadi ahamiyat ka haamil hai ke is ke pichhe kaun se anaasir kaar farmaa hain ? aur is ke pichhe keya maqsad hai ?


is sawaal ka jawaab hame Delhi me mon'aqid hone waali press conference me mil gaya jis me aek zaafaraani ( geruwe = گیروے ) rang ke lebaas me malbus aek kaale kaafir ne kaha :


"mujhe jehaad aur islam ke khelaaf ladna hai aur rasul-e-khoda ( صلى الله عليه وآله ) ki shaan me gustaakhi bhi ki ... "


aek shakhs qur'aan-e-saamit yaani qur'aan-e-kareem ke khelaaf bol raha hai aur dusra qur'aan-e-naatiq yaani rasul-e-khoda ( صلى الله عليه وآله ), islaam aur moqaddas wa insaani fariza jehaad ke khelaaf ...


"Fitna phir aaj outhaane ko hai sar lagta hai"


haqiqat me hamaara asl moqaabala wasim se nahi hai lehaaza hamaari asl jidd-o-johad wasim ko laane waalon ke khelaaf honi chaahiae


baaz log aur aedaare wasim ke moqaabil inqelaabi ban jaate hain aur jab zaafaraani rang ke lebaas me malbus hokumati afraad ke saamne aate hain to phir ounhen sirf kursi yaa zaati mafaad se peyaar hota hai , na ke islaam wa awaam se


Dusra aham sawaal ye hai ke jin ke lebaas par zaafaraani rang chadha hai oun ke pichhe kon hai ?


Is sawaal ka jawaab bhi hame delhi me mon'aqid hone waali press conference me hi mil gaya


Beruni anaasir ki pusht panaahi haasil hai ous press conference me kaale kaafir ne nafrat aamez aur tashad'dud ko bhadkaane waale bayaanaat diae


aur kaha ke hamaare liae sabse pahle role model eisraaeil ke yahudi hain phir meyaanmaar ...


qaabil-e-tawaj'joh ye baat bhi kahi ke aazaadi ke pahle hindustaan aur hinduon ko angrezon ne bachaaya ... kaale kaafir ka ye bayaan musalmaanon ... ke khelaaf to tha hi , saath hi saath qaabiz angerezon ki hemaayat me bhi hai


Ye mulk ke ghad'daar hain yaa wafaadaar ?


yaad-e-maazi kureden to inhe yaad aayega ke angerez, hinduon ko gaae ka gosht zabardasti khilaate the aur inki ladkiyon aur auraton ko outha kar le jaate the ... lekin ab wo in ke mohaafiz wa nejaat dahinda ban gae be-ghairati ki had ho gaei !!!


ous bayaan aur press conference pe reyaasat ka tamaashaa'ei ban kar khaamosh rahna reyaasati aedaaron aur hokumat-e-waqt ke liae aek bohot bada sawaaliya neshaan hai


cricket team ke khelaadiyon ki jarsiyon par zaafaraani rang chadhaane hatta pure mulk ko geruwe rang me rangne ki koshish karne waalon ne jab se aeqtedaar sambhaala to mulk mushkil me hai


jamhuriyat ka janaaza nikaal diya, mulk me jangal ka qaanun aur bhediyon ka raaj hai


bad-ounwaani, ma'eishat ki tabaahi, mahngaaei, be-rozgaari shabaab par hai, log bhuke mar rahe hain, is waqt ma'eishat seyaasat ki qaidi ban chuki hai, dono haathon se apne hi mulk ke logon ko lut rahe hain


Kisaan khud'koshi kar rahe hain, kisaano ke jaa'aez dharne aur aehtejaaj ko badnaam karne ke liae godi media hokumat ki khushnudi haasil karne ke liae is had tak jaa chuka hai ke in par dahshatgard aur paakistaan waghairah ke agent hone ka label chaspaan kar raha hai ...


mokhtasar ye ke sokun ka saans mohaal hai


asl masaa'ael se tawajjoh hataane aur apne seyaasi maqaasid ke hosul ke liae aaye-din koei na koei naya fitna outhaana, shegufa chhodna, firqa-waariyat wa nafrat ki aag bhadkaana aur dahshatgard tanzimon ki pusht panaahi ... in ke nazdik behtarin raaste hain


cheraagh sabke bujhenge , hawa kisi ki nahi


france ke aek mash'hur philosopher, mowarrikh , samaajiyaat ke aalim ( sociologist ), Doctor aur kaei ketaabon ke mo'allif wa mosan'nif " gustave le bon ( گوستاوے لے بون ) " hain qur'aan aur hindustaan ke baare me bhi aek ketaab likhi hai in ki aek ketaab ka tarjuma arabi me ba'naame " al-yahud fit'taarikhil hazaaraatil oula " ( اليهود فى التَّارِيخِ الحَضَارَاتِ الاُولى ) hai is ketaab me yahudiyon ki khaslaton ke baare me likha hai :


agar ham chaahen ke yahudiyon ke sefaat wa khosusiyaat ka kholaasa chand jumlon me bayaan karen to is tarah kahen :


"yahud oun insaano ke maanind hain jo abhi abhi wa taaza jangal se shahr me daakhil huae hain aur hamesha insaani sefaat se be'bahra the ru-e-zamin par past tarin logon ki tarah zindagi basar kar rahe hain isi wajah se jo yahudi khud ko bani eisraaeil aur musa kalimullah ke pairo samajhte hain hamesha wahshi, saffaak aur be'ghairat the hatta jab khud oun logon ne apne mulkon par hokumat ki ous waqt bhi apni saffaakiyat se dast'bardaar nahi huae ... mokhtasar ye ke yahud aur haiwaanaat ke darmeyaan koei farq nahi kiya jaa sakta"


( p 82-83 motarjim " aadil - zo'aytar )

mazkurah baala baaten zaafaraani rang ke lebaas me malbus logon par bilkul saadiq aati hai


jo wahshiyaana tariqe se logon ka qatl-e-aam kare, seyaasat ke naam par khun ki aisy holi khele jise dekh kar insaaniyat sharmaa jaae, haamela auraten aur bache bhi mahfuz nahi


mandir me paani pine par peyaase bach'che ko badi be'dardi se maare pite aur zad-o-kob kare ... to aise khuni wa be'rahm logon ko aap darinda aur wahshi nahi kahenge to aur keya kahenge ?


eisraaeili yahudiyon se in ki kaafi moshaabahat wa momaasalat hai in ke sar-chashma bhi sahyuni hain isi liae ye oun hi ke naqshe qadam par chal rahe hain


jaisa ke oupar arz kiya is baat ka aeteraaf aek kaale kaafir ne dehli me aek press conference me kiya hai ke hamaare role model eisraaeil ke yahudi hain


aise log qur'aan-e-hakim aur nabi-e-rahmat ( صلى الله عليه وآله ) ki mokhaalefat karen yaa in se dushmani karen to ta'ajjub ki koei baat nahi hai


is liae ke in ko ach'chhi tarah maalum hai ke qur'aan ne adaalat, baraabari, beraadari, insaaniyat, jiyo aur jine do ka dars wa sabaq diya hai


aur zulm-o-jaur, naa'adaalati, fasaad, sarwat andozi, gunda-gardi ... ke khelaaf aawaaz baland karne ke liae hukm diya hai


moqaddas din islaam me "ketaabul harb" (jang ki ketaab) nahi hai lekin "ketaabul jehaad" (jehaad ki ketaab) hai


haqiqi islaam (islaam aur insaaniyat ke dushmano ke aala'kaar , daaeish aur al'qaa'aeda waghairah ka nahi ) jang ka mokhaalif hai lekin samaaj wa mo'aashara se zulm-o-jaur, naa adaalati, qatl-o-ghaarat aur fitno ... ko khatm karne ke liae aakheri raah-e-hal ( sharaa'aet ke motaabiq ) jehaad wa jang hai


qur'aan-e-kareem ki aisy aayaton aur taalimaat ko apne naa'paak maqaasid ke hosul me rokaawat aur khatra samajhte hain is liae in aayaton ko hataane ki naa-kaam koshish kar rahe hain


Khoda wande aalam ka irshaad-e-geraami hai :


۔... اِنَّا نَحنُ نَزَّلنَا الذِّكرَ وَ اِنَّا لَهُ لَحَافِظُون


"... be'shak ham ne qur'aan ko naazil kiya aur yaqinan ham is ke negahbaan (tahrif aur zawaal se) hain"


( Hijr 9 )


keya khoda , maslan Waseem aur oun ki pusht panaahi karne waalon se baraahe raast khud hefaazat farmaa'ae ga ?


aisa nahi hai apne bandon ke zariae hefaazat karta hai aur karta rahega


ham log bhi khoda par tawakkul karte huae qur'aan sharif ki aur apni hefaazat khud karen


ye zamini haqiqat hai ke Waseem zaahir me hai baatin me koei aur hai maafiya ke jaraa'aem pesha geroh ke sarghana hain ye mulk ko lutne ka bhi mansuba banaate rahte hain


is par to yahi kaha jaa sakta hai :


"haathi ke daant dekhaane ke aur hain khaane ke aur hain"


lehaaza dar-asl, asl par lagaam lagaane ki zarurat hai


aakhir me Waseem se bas itna kahna chaahunga ke aap ne allah, rasul aur aeimma-e-at'haar ( صلوات الله عليهم ) ko naraaz kiya hai aur aap ke kaarnaamon ki wajah se aap ki maa ko taklif pahonchi hai abhi bhi waqt hai allah ki baargaah me apne gunaahon se sach'chi tauba karen aur talaafi bhi karen


adaalat se apni arzi waapas len aur qaum se moaafi maangen is tarah aap qaum aur apni maa ke aaghosh me aa jaaen


ham ko yaqin hai khoda aap ko moaaf kar dega is liae ke allah ki wasi rahmat aur maghferat ka darwaaza khula hai makhsusan maah-e-shabaan me


۔... لَا تَشتَرُوا بِآيَاتِى ثَمَناََ قَلِيلاََ وَ اِيَّاىَ فَاتَّقُون


" ... meri aayaton ko thodi wa naa-cheez qimat par na farokht karo aur sirf mujh se daro"


( Baqara 41 )


Syed Shamshad Ali Katokhari

Khaadim-e-edaara-e-darul itrat


1 / شعبان / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube


this article transliterated by "Saiyed Md Tabish" from urdu to roman urdu


No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen