Sawaal az : mohtaram janaab Syed Waseem Raza Musvi sb.
Agar ham apne abbu ki sehat sahi rakhne ke liye apne abbu ko kisi chiz se mana kare jese smoking karne se jo un ke liye nuksan dayak hai to kya ham apne walid ko mana kar sakte hain is me koi gunah to nahi
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكمji mana kar sakte hain gunaah nahi hai aur na hi be-aehteraami hai balke oun ke saath khair khaahi, aek tarah ki khidmat aur bhalaaei hai
albatta koshish karen ke waalid ke saath bade adab se aur monaasib wa narm andaaz me is tarah baat karen ke is muzi aur noqsaan deh lat ko chhod den
agar waalid par aap ki baat ka koei asar na huaa aur cigarette tark karwaane me naa-kaam rahe to is hawaale se aap par koei zimme'daari nahi hai aur na hi oun ko taklif dene ki aejaazat hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔26 / رجب / 1442 ھ.ق
روز وفات سید البطحاء ، رئیس مکہ ، مومن قریش ، حامی پیغمبر ، ابوالائمہ حضرت ابو طالب عليهم السلام
( ایک روایت کے مطابق )
subscribe us on youtube
No comments:
Comment