tuti huei sajdegaah par sajdah | peshaani rakhne ki meqdaar ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, March 2, 2021

tuti huei sajdegaah par sajdah | peshaani rakhne ki meqdaar ka hukm

sawaal az : +9233332....


Salam qibla kiya haal h.... mera sawal hai ke kiya agar sajdegaah tuti hui ho ya gir ke chatak gai ho to uspe sajda ho sakta hai ?


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

الحمد لله

ji chitkhi ( چٹخی ) aur tuti huei sajdegaah par sajdah kar sakte hain lekin sajdegaah aek bande angusht ( aek oungal / oungli ke jod ) se kam na ho


Note :


  1. agar gond se chipka liya hai to sajdah gond par na karen is liae ke gond par sajdah sahi nahi hai

    lekin gond se chipkaane ke baad aek bande anghusht ke baraabar sajdegaah aisi ho jis par gond na laga ho to ous par sajdah kar sakte hain

  2. aayatullaah sistaani ke fatwe ke motaabiq sajdegaah ya koei dusri chiz jis par sajdah karna sahi hai is meqdaar me ho ke ourf ke nazdik ous par sajdah karna saadiq aa'ae khaah wo meqdaar aek bande angusht ke baraabar ho ya ous se kam

  3. aur meqdaar ke liae zaruri nahi hai ke aek jagah jama wa aekat'tha ( اکٹھا ) ho agar paraagandah wa bikhri huei ho tab bhi koei haraj nahi hai


    lehaaza aek dusre se juda tasbih ke daanon par sajdah jaa'aez hai ba sharte ke jis par peshaani thahre wa qaraar paa'ae ( jame wa tik jaa'ae ) wo is tarah ho ke ourf me kahen ke peshaani par sajdah anjaam diya gaya hai

    ( lekin is baat par dheyaan rahe ke tasbih aisi chiz se banaa'ei gaei ho jis par sajdah sahi hai )


    aayatullah sistaani ke moqallid oupar zikr kiya huaa mas'ale ke motaabiq aek bande angusht se kam sajdegaah ke tukde par sajdah kar sakte hain



والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔22 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen