keya jinnaat insaanon ki chizen ghaa'aeb karte hain ? | sehr-o-jaadu | jinnaat ke asar | aaseb se mahfuz rahne ka wazifa | tariqa - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, March 24, 2021

keya jinnaat insaanon ki chizen ghaa'aeb karte hain ? | sehr-o-jaadu | jinnaat ke asar | aaseb se mahfuz rahne ka wazifa | tariqa

Sawaal az : khaahare geraami


meri mummy ne roti banaayi aur usme se dedh roti (one and half) khud Khaayi aur dhaai roti (two and half) rakh di na to ghar mein koi chuha hai Na kisi ne dabba khola hai roti apne aap gayab ho gai


pure Ghar ki tabiyat bhi kharab ho rahi hai mera to ye haal hai ki pairon se utha nahin ja raha hai bahut taklif ho rahi hai mummy ki bhi tabiyat kharab hai bade bhai ki bhi aur kaam dhanda bilkul band pada hai


Mera naam show na kijiyega...


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم


roti ghaa'aeb hone ke ta'alluq se batla dun ke ye mahaz wahm-o-khayaal hai kisi soch ko baar baar demaagh wa zehn me laane se khayaalaat, waham, shak aur waswase ... aate hain


aksar auqaat yun mahsus hota hai jayse mere pichhe pichhe koei aa raha hai, baar baar is ka khayaal aane se haqiqat me aysa lagta hai ke koei aa raha hai


roti ghaa'aeb hone ke ta'alluq se bhi aysa hi huaa hoga ya ghabraahat aur khauf ki shiddat se aysa wahm-o-khayaal zehn me aaya ho ya koei aur wojuhaat bhi ho sakti hain


tabi'at kharaab hone ke asbaab mokhtalif ho sakte hain masalan kisi bimaari ki wajah se aysa ho sakta hai (lehaaza doctor ko dekhaa'aen) ya khoda is chhoti taklif me mubtala kar ke kisi badi bimaari se bachaana chaahta ho ya aazmaa'eish wa imtehaan ho ya gunaahon ka kaffaarah ho ... zindagi parishaaniyon ka naam hai


kaam dhanda bhi band ho jaane ke asbaab mokhtalif ho sakte hain shaayad Covid - 19 ki wajah se ho. dunya ke taqriban har mulk aur shakhs ki maei'shat aur aeqtesaad ko Corona viruses ne tabaah kar diya hai sab par is ke asaraat morattab huae hain ya kaam anjaam dene me koei kotaahi ya ghalati ho gaei ho ...


agar nazare bad, sehr-o-jaadu aur jinnaat ke asar wa aaseb ka shak ho to is hawaale se arz kar dun ke is se inkaar nahi kar sakte hain


kuchh logon ka kahna hai ke in ka insaan par asar andaaz hona sirf waham hai, ye durust nahi hai is liae ke qur'aan karim aur ahaadis me in ka zikr aaya hai aur jinnaat ke naam par to aek surah banaame "Jin" bhi hai


lekin waazeh ho ke ach'chhe aur momin jinnaat, momin ko taklif nahi pahunchaate hain aur bure jinnaat momin par mosallat nahi ho sakte hain


is liae ke surah "nahl" aayat 99 - 100 me hai :


"shaytaan ko yaqinan oun logon par koei ghalaba wa baalaa dasti haasil na hogi jo eimaan laa'ae hain aur apne rab par bharosa karte hain"


"ous ka zor wa ghalaba to sirf oun logon par hai jo ouse apna sarparast banaate hain aur Allaah ke saath sharik thahraate hain"


aur wo ghar jis me tahaarat wa najaasat ka khayaal rakha jaata ho, telaawate qur'aan majid, azaan, zeyaarate aashurah, hadise kesa ki aawaaz pure ghar me jaati ho aur Ahlebait (عليهم السلام) ki mahaafil-o-majaalis mun'aqid hoti hain to ous ghar par jinnaat waghaiyrah ka asar nahi hota hai aur ahle khaana ko eiza nahi pahunchaate hain


ham log har chiz ko jinnaat waghaiyrah se jod dete hain, kaha jaata hai jinnaat insaanon ki chizen wa saamaan ghaa'aeb karte hain, jinon ne ghar oujaad diya ... hatta zehni bimaariyon ... ko bhut, paret aur jinnaat ka asar bataaya jaata hai aur doctor ke paas jaane ke bajaa'ae aamilon ... ke paas jaate hain, is hawaale se mere khayaal me jinnaat mazlum hain


bahar kaif sehr-o-jaadu aur jinnaat ke aaseb aur shar se nejaat aur ous ko baatil karne ke chand wazaa'aef aur tariqe darj zail hain molaaheza kiji'ae :


  1. Imaam Saadiq (عليه السلام) ka irshaade geraami hai :

  2. مَن قَرَأَهَا فِى مَنزِلِهِ كُلَّ لَيلَةٍ ، اَمِنَ مِنَ الجِنِّ وَالوَسوَاسِ ، وَمَن كَتَبَهَا وَ عَلَّقَهَا عَلَى الاَطفَالِ الصِّغَارِ حَفِظُوا مِنَ الجَانِّ بِاِذنِ اللهِ تَعَالَى


    "jo shakhs bhi har raat surah "naas" apne ghar me padhe to jin aur waswase se mahfuz rahe ga aur jo ous ko likhe aur chhote bach'chon par (gale me) latkaa'ae to Allaah ta'aala ke izn se mahfuz rakha jaa'ae ga"


    (al - burhaan fi tafsiril qur'aan jild 5 p 817 taalif mohaddis Haashim Bahraani)


  3. Hannaan bin Sodair / Sadeer ne Imaam Saadiq (عليه السلام) se naql kiya hai ke aap ne farmaaya :

  4. مَن اَكثَرَ قِرَائَةَ " قُل اُوحِىَ " لَم يُصِبهُ فِى الحَيَاةِ الدُّنيَا شَئ مِن اَعيُنِ الجِنِّ وَلَا مِن نَفَثِهِم وَلَا مِن سِحرِهِم وَلَا مِن كَيدِهِم وَكَانَ مَعَ مُحمد (صلى الله عليه وآله) ...


    Mafhum :


    "jo shakhs kasrat se" qul-ou-heya (surah jin) ki telaawat kare to hargiz dunyaawi zindagi me jin ki bad nazar nahi lag sakti hai aur jinon ke jaadu, sehr aur makr-o-fareb ka asar nahi ho sakta hai aur wo Mohammad (صلى الله عليه وآله) ke saath hoga ..."


    (tafsir majmaoul bayaan jild 10 p 463)


  5. shayaatin, jaadu garon aur jinon ko dur karne, hataane aur rad karne ke liae Rasule Khoda aur aap ke farzand Imaam Saadiq (صلوات الله عليهم) se manqul hai ke :

  6. aayat "sukhrah / taskhir (surah aaraaf ki 3 aayaten 54 - 55 - 56) padho"


    (osule kaafi jild 2 p 539 ketaabud doa / mafaatihul jenaan "baaqeyaate saalehaat" baab 3 ka haashiyah)


    aayate sukhrah ke bahot saare faa'aede aur khaasiyaten hain aur rewaayat se istefaadah hota hai ke 70 martaba padhna safaa'ae qalb, sokune qalb aur shakk-o-waswasah dur wa band hone ka baa'aes hai


  7. har mushkil aur jinn-o-ins ke shar se mahfuz rahne ke liae doa :

  8. Somaa'ah ne rewaayat kiya hai ke Imaam Saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :


    agar kisi chiz ka dar wa khauf ho to kaho :


    اَللَّهُمَّ اِنَّكَ لَايَكفِى مِنكَ اَحَد وَ اَنتَ تَكفِى مِن كُلِّ اَحَدٍ مِن خَلقِكَ فَاكفِنِى كَذَا وَ كَذَا


    "allaahumma innaka laa yakfi minka ahad wa anta takfi min kulle ahad min khalqeka fakfeni kaza wa kaza"


    ( osule kaafi jild 2 p 557 ketaabud doa )


    kaza wa kaza ki jagah jis chiz ka khauf ho ous ka zikr karen


    masalan aap ko jinn-o-ins ka khauf hai to is jagah kahen :


    شَرَّالجِنِّ وَالاِنسِ


    "sharral jinne wal ins"


    jis chiz ka khauf hai ous ko "kaza wa kaza" ki jagah arabi ke aelaawah dusri zabaanon me bhi kah sakti hain


    is doa ko hamesha aur baar baar padhen


  9. baqadre imkaan hamesha sadqa den

oupar jo bayaan kiya gaya ous par amal karen agar jinnaat ya sehr-o-jaadu ... ka asar hoga to sab baatil ho jaa'ae ga انشاءالله


jhaad phunk karne waalon ya aamilon ... ke paas jaane ki zarurat nahi hai Maasumin (سلام الله عليهم) ke bataa'ae huae tariqe aur wazaa'aef hamaare liae kaafi hain


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله


  1. parinde paalne ka hukm | kaun se paalna behtar hai ?

  2. kaaro-baar me kaamyaabi | naa kaami | rizq me barkat | tangi ke asbaab | mushkelaat se nikalne | haajat ki namaaz | doa | azkaar

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


10 / شعبان / 1442 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen