sawaal az : khaahare geraami
Assalaam alaikum
Please hamko ye bataiega ke kiya kisi mard marhum ke zindagi ki qaza namaaz koi aurat padh sakti hai ?
Us marhum ki qaza namaaz ko koi aurat ada kar sakti hai ?
mera naam show na kijiyega
Aaqa sistaani sb
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهji aurat mard ki taraf se aur mard aurat ki taraf se qaza namaazen padh sakte hain
fiqh ki istelaah me padhne waali / padhne waale ko naa'aeb kahte hain
namaaz me aahista ya baland aawaaz se padhne ya dusre ahkaam me naa'aeb moqarrar kiae huae apne shar'ei hukm ke motaabiq amal kare
Misaal :
mard par - benaabar aehteyaat - waajib hai ke namaaze subh wa maghrib wa aesha me hamd aur surah baland aawaaz se padhe
aur mard wa aurat par - aehteyaat ki benaa par - waajib hai ke tisri aur chauthi rak'at me tasbihaate arba'ah ya surah hamd aahista padhe
isi tarah namaaze zohr wa asr ki chaaron rak'at me hamd-o-surah aur surah hamd ya tasbihaate arba'ah aahista padhe
albatta roze jum'ah namaaze zohr ki pahli wa dusri rak'at me hamd-o-surah baland aawaaz se padhna mustahab hai
auraten namaaze subh wa maghrib wa aesha me hmd-o-surah aahista ya baland aawaaz se padh sakti hain ( mardon ki tarah baland padhna zaruri nahi hai ) lekin agar naa mahram ous ki aawaaz sune to aahista padhe ...
oupar bayaan kiae gae mas'alah ka natija :
agar aurat mard ki taraf se namaaz padhe to moqarrar kiae huae apne shar'ei hukm ke motaabiq amal kare
masalan namaaze subh wa maghrib wa aesha me hamd-o-surah aahista ya baland aawaaz se padh sakti hai, mardon ki tarah baland padhna zaruri nahi hai
aur agar mard aurat ki taraf se padhe to moqarrar kiae huae apne shar'ei hukm ke motaabiq amal kare
masalan namaaze subh wa maghrib wa aesha me hamd-o-surah baland aawaaz se padhe ; auraton ki tarah aekhteyaar nahi hai ke aahista padhe ya baland aawaaz se
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔13 / شعبان / 1442 ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment