pair par plaster chadha ho to ghusl kayse karen ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, March 20, 2021

pair par plaster chadha ho to ghusl kayse karen ?

sawaal az : +9172750....


Assalam o alaikum

Agha pair main agar plaster ho to gusl e janabat kaise karen


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

zaruri hai ke ghusle "jabirah" karen yaani sar wa gardan dhone ke baad maamul ke motaabiq badan ka daayaan hissa dho'aen

agar daa'aen pair par plaster chadha hai to eidhar ka jo hissa khula hu'aa hai ( yaani jahaan plaster nahi chadha hai ) ous ko is tarah dho'aen ke har jagah paani pahunch jaa'ae is ke baad tar haath se pure plaster ka mas'h karen ( yaani martub haath ous par pheren )


phir baayaan hissa dho'aen agar baa'aen pair par plaster hai to eidhar ka khula hu'aa hissa dhone ke baad tar haath se pure plaster ka mas'h karen kaafi hai aur ghusl sahih hai


Note :


  1. plaster ka sirf mas'h karen ous ko dhona kaafi nahi hai

  2. agar plaster najis ho to koei paak chiz jaiyse kapda ya plastic najis jagah par is tarah baandh len ya chadha len ke plaster se chipak jaa'ae aur ourf me plaster ka hissa shumaar kiya jaa'ae

  3. aam taur par tuti huei jagah par jetna plaster chadhaate hain agar ous meqdaar se zeyaadah ho to aehteyaatan tayammum bhi karen ( yaani ghusl aur tayammum dono karen )

  4. agar ghusl karna momkin nahi hai, majburi hai to ghusl ke badle tayammum karen

  5. jin maraaje keraam ( jaiyse aayatullah sistaani ) ke nazdik daayaan aur baayaan hissa dhone me tartib shart nahi hai to badan dhone ke baad plaster ka mas'h kar sakte hain

Niche diae gae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله




والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔7 /شعبان / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen