baiytul khala (toilet) ke andar zikre khoda karna | ahkaam | aadaab - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, February 8, 2021

baiytul khala (toilet) ke andar zikre khoda karna | ahkaam | aadaab

sawaal az : +919552.....


Salaamunalaik Agah Sahab


Kya baitul khala me zikre elaahi kar sakte hai? Maslan Auzobillah... Bismillah... Lahawlawala.... Ya shukranAllah... Yaa Allah Ta'ala ke isme mubarak ka zikr kar sakte hai?


Wassalaam

Kudaya apko duniya o Akhirat me Azeem Ajr ataa kare


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام ورحمةالله وبركاته

شکریہ

Mokhtasar jawaab :


ji haan kar sakte hain


Qadre tafsil se jawaab :


baiytul khala ( paakhaana wa peshaab karne ki jagah ) ke kuchh ahkaam aur aadaab wa sunnaten hain :


  1. Waajib :


    jaiyse waajib hai ke insaan qazaa'ae haajat ke waqt bhi apni sharm gaah dusron se chupaae lekin miyaan biwi ke liae laazim nahi hai ke aek dusre se chupaaen ...

  2. Haraam :


    qazaa'ae haajat ke dauraan chehra ya pusht qiblah ki taraf karna ...

  3. Makruh :


    peshaab, paakhaana ke dauraan baat chit karna ( chaahe ye baat chit mobile aur internet waghaiyrah se hi keyon na ho ) makruh hai magar ye ke zarurat ho, albatta zikre khoda aur ous se baat karna makruh nahi hai


    khaana pina, zeyaadah waqt sarf karna aur miswaak karna ... bhi makruh hai

  4. aadaab :


    baiytul khala me baa'aen pair se jaana aur daa'aen pair se nikalna aur sar dhakna ...

  5. mustahabbaat wa sunnaten :


    aayaate qur'aan aur rewaayaate maasumin ( صلوات الله عليهم ) se istefaadah hota hai ke zikr wa yaade khoda har jagah, har haalat me aur har waqt pasandidah, mamduh aur mustahab hai hatta baiytul khala ke andar har qism ka zikr aur khoda ki hamd-o-sana karna aur aayatul kursi padhna pasandidah kaam wa mustahab wa behtar hai

agar rasule khoda ( صلى الله عليه وآله ) ka naam sunen ya chhink ( چھینک ) aa'ae to zikre salawaat padhen aur "al-hammdo lillaah" kahen


makhsusan tanhaaei wa khalwat me allaah ko bahot yaad karna chaahiae is liae ke tanhaaei me shaiytaani hamle zeyaadah hote hain, wo hamaare andar zeyaadah waswase daalta hai aur bahkaata hai


baiytul khala me daakhil hone ka aeraadah karte waqt aur ous ke andar yaani daakhil ho jaane ke baad ... aur nikalte waqt ... doa padhni chaahiae aur allaah ka zikr karna chaahiae is ke liae maasumin ( سلام الله عليهم ) ki jaanib se zikr aur doaaen bhi waarid huei hain


agar kisi ko paakhaana ya peshaab karne me dushwaari ho to ous ke liae bhi doa hai


aakhir me 2 aayaat aur aek hadis molaaheza farmaaen :


aayat :


" ay eimaan waalo allaah ko bahot kasrat se yaad karo "


" aur subh-o-shaam ousi ki tasbih karo "


( ahzaab / 41 - 42 )

hadis :


imaam baaqir ( عليه السلام ) ne mohammad bin muslim se irshaad farmaaya ay mohammad bin muslim :


لَا تَدَعَنَّ ذِكرَ اللهِ عَلَى كُلِّ حَالٍ وَ لَو سَمِعتَ المُنَادِى ، يُنَادِى بِالاَذَانِ وَ اَنتَ عَلَى الخَلاءِ فَاذكُرِاللهَ عَزَّوَجَلَّ وَ قُل كَمَا يَقُولُ المُؤَذِّنُ

"har haal me zikre khoda mat chhodo ( چھوڑو , hatta ) qazaa'ae haajat ke waqt, agar mo'azzin ki aawaaz suni to khodaae azza wa jal ka zikr karo aur wahi kaho jo mo'azzin kahta hai ( yaani azaan ke kalemaat suno to oun kalemaat wa jumlon ko dohraao )


( man laa yahzarohul faqih jild 1 p 187 h 892 baab 44 )

mazid tafsilaat aur maalumaat haasil karne ke liae tauzihul masaa'ael me baiytul khala ke ahkaam aur mafaatihul jenaan wa hilyatul mut'taqin me aadaabe baiytul khala molaaheza farmaaen


Note :


malhuz khaatir rahe ke oupar jo kuchh bayaan kiya gaya ous par is tarah amal karen ke momenin ke nazdik be aehteraami na samjhaa jaae


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔25 / جمادى الثانى / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen