Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, February 16, 2021

Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبائیں


بسم الله الرحمن الرحيم


Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?


Rasule Aa'zam (صلى الله عليه وآله) ka irshaade geraami hai :


اِنَّ اللهَ تَعَالَى نَصَبَ فِى السَّمَاءِ السَّابِعَةِ مَلَكاً يُقَالُ لَهُ : "اَلدَّاعِى" ، فَاِذَا دَخَلَ شَهرُ رَجَبٍ يُنَادِى ذَالِكَ المَلَكُ كُلَّ لَيلَةٍ مِنهُ اِلَى الصَّبَاحِ : طُوبَى لِلذَّاكِرِينَ ، طُوبَى لِلطَّائِعِینَ
وَيَقُولُ اللهُ تَعَالَى : اَنَا جَلِيسُ مَن جَالَسَنِى ، وَ مُطِيعُ مَن اَطَاعَنِى ، وَ غَافِرُ مَنِ استَغفَرَنِى ، اَلشَّهرُ شَهرِى ، وَالعَبدُ عَبدِى ، وَالرَّحمَةُ رَحمَتِى ، فَمَن دَعَانِى فِى هَذَالشَّهرِ اَجَبتُهُ ، وَ مَن سَئَلَنِی اَعطَيتُهُ ، وَ مَنِ استَهدَانِى هَدَيتُهُ ، وَ جَعَلتُ هَذَالشَّهرَ حَبلًا بَينِى وَ بَينَ عِبَادِى ، فَمَنِ اعتَصَمَ بِهِ وَصَلَ اِلَىَّ


Beshak khoda ta'aala ne saatwen aasmaan par aek farishta moqarrar farmaaya hai jis ko "Daa'ei" (bolaane waala) kaha jaata hai, jab Maahe Rajab daakhil (shoru) hota hai to wo farishta is maah ki har raat me subh tak aawaaz deta hai (aelaan karta hai) :

Zikr karne waalon ka khusha-haal (oun ke liae bahot ach'chha wa bahot khub / khush khabari hai oun ke liae)

aetaa'at karne waalon ka khusha-haal (oun ke liae bahot ach'chha wa bahot khub / khush khabari hai oun ke liae)


Allah ta'aala farmaata hai :


(Yahaan se hadise qudsi hai)

main har ous shakhs ka ham nashin hun jo mere saath baithe

aur har ous shakhs ka moti (baat maanne waala) hun jo meri aetaa'at kare

aur har ous shakhs ko bakhshne waala hun jo mujh se bakhshish talab kare wa maghferat maange

mahina, mera mahina hai aur banda mera banda hai aur rahmat meri rahmat hai

jo aadmi is mahine me mujhe pukaare wa bolaa'ae (mujh se madad chaahe) to ous ki pukaar ka jawaab dunga

aur jo shakhs mujh se sawaal kare (kisi chiz ki darkhaast kare) to main ous ko ataa karunga

aur jo shakhs mujh se hedaayat chaahe (mujh se hedaayat ka talab'gaar ho) to ous ko hedaayat dunga (ous ki hedaayat karunga)

aur is maah ko apne aur apne bande ke darmeyaan ras'si qaraar diya hai, is bunyaad par jo shakhs bhi is ras'si ko mazbut pakad le (mazbut thaam le) to mujh tak pahonch gaya / pahonch jaa'aega (apne rab se jud jaa'aega)


(aeqbaalul'aamaal jild. 2 p 628 baab 8 aamaale maahe rajab fasl 5 taalif syed ali bin taa'ous)


is azim hadis ke har jumle wa kalemaat ki tashrih aur wazaahat honi chaahiae taa ke is ke andar chhupe huae mataalib, mafaahim aur nekaat saamne aa'aen
lekin chand jumlon ki tafsir ke silsile me baaz pahlu aur chizen zehan me rakhna zaruri hai :


  1. pahle ya dusre ... aasmaan par "Daa'ei" farishta aawaaz nahi deta hai balke saatwen aasmaan se awaaz deta hai aur aelaan karta hai ...


    saatwen aasmaan par "Sidratul Muntaha / سِدرَةُ المُنتَهى" (najm-14) aur "Jannatul Maawaa / جَنَّةُ المَأوى" (najm-15) hai aur Shabe Meraaj, Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) isi aasmaan par maqaame "Qaaba qausin au adna / قَابَ قَوسَينِ اَو اَدنَى" (najm-9) par faa'aez huae aur allah az'za wa jal ka didaar kiya


    mokhtasar ye ke saatwaan aasmaan khoda ki azmat wa jalaal ki tajalli gaah hai


  2. "Daa'ei" farishta saahebe maal wa daulat, aysh wa aaraam aur mahal me rahne waalon ... ke liae kalema'ae mosarrat (bahot khub, bahot ach'chha) nahi kahta hai balke do tarah ke logon yaani zikr aur aetaa'at karne waalon se kahta hai

  3. khoda ne apne saath baithne waale ke liae ye nahi kaha ke main tum se qarib wa nazdik hun balke farmaaya :


    main apne saath baithne waale ka ham'nashin hun. Khaaliq ... makhluq ka ham'nashin hai (Allaaho Akbar / الله اكبر)


    "zahe qismat wa nasib jis ko "Daa'ei" farishta aawaaz de"


Syed Shamshad Ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat
Qum-ul-moqaddasah / iran


3 / rajab / 1442 h.q.

Roze shahaadat Imaame Haadi (عليه السلام)


Subscribe us on youtube

transliterated by "Saiyed Mohammad Tabish" from urdu to roman urdu

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen