sadqe ki ahamiyat | fazilat | fawaa'aed | aadaab | masaa'ael Qur'aan wa hadis ki roshni me - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, January 2, 2021

sadqe ki ahamiyat | fazilat | fawaa'aed | aadaab | masaa'ael Qur'aan wa hadis ki roshni me

Sawaal az : Mohtaram Janaab Faraz Abbas Sb (Ranchi)


Salam un Alaikum....


Mera Sawal Sadqe se Related hai..


● Sadqe ki kiya Ahmiyat hai

● Sadqe ka ki rakam(rs) ya jo bhi sadqa nikala ja raha hai kiya use Muslim (jo Shia nai hai) No Muslim (Jo Muslman na ho) diya ja sakta hai..

● Imam e Zamana (a.s.) ka sadqa kis ko diya ja sakta hai

● Or kis Imam ka Sadqa nikal saktaye hai

● Murdo ka sadqe kiya ahmiyat hai nikala jana chahiye ya nai...

● Sadqe mai kiya nikala jana chahiye


Sukariya


jawaab :


باسمه تعالی

يا صاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام ورحمةالله و بركاته

1. sadqah mustahabbe mo'akkad ( taakid kiya gaya mustahab ) hai sadqah dene ki bahot zeyaadah targhib dilaaei gaei hai makhsusan baaz khaas auqaat me jaiyse roze jum'aah, arafah aur maahe ramzaan waghaiyrah


sadqe ki ahamiyat aur fazilat ke liae taqriban 100 waazeh qur'aani aayaat aur farawaan sahih rewaayaate motawaaterah maujud hain


misaal ke taur par sirf aek aayat aur aek hadis molaaheza farmaaen :


surah monaafequn aayat 10 :


" aur jo rizq ( maal ) ham ne tum ko diya hai ous me se ( raahe khoda me ) infaaq wa kharch karo qabl is ke keh tum me se kisi aek ki maut aa jaa'ae ( aur ous waqt badi hasrat se ) kahe ay mere parwar'degaar tu ne mujhe thodi si aur mohlat keyon na di taake me sadqah deta aur nek logon me daakhil ho jaata "


is aayat se raahe khoda me maal kharch karne wa sadqah dene ki ahamiyat aur ajr-o-paadaash ka andaazah lagta hai


mazid maalumaat ke liae surah baqarah aayat 261 wa 262 aur surah hadid aayat 18 padh len


rasule khoda ( صلى الله عليه وآله ) se marwi hai :


اِنَّ الصَّدَقَةَ تَقَعُ فِى يَدِ اللهِ قَبلَ اَن تَصِلَ اِلَى يَدِ السَّائِل

" bela shubha sadqah is se pahle ke saa'ael ( zarurat mand ) ke haath me jaae khoda ke haath me pahunchta wa jaata hai "


( tafsir maj'maoul bayaan jild 5 p 89 surah tauba aayat 104 ke zail me )

isi hadis se moshaabeh hadis imaam sajjaad ( عليه السلام ) se bhi manqul hai


surah tauba aayat 104 me hai :


" ... khoda apne bandon se sadqaat wosul karta hai ..."


sadqaat ki aetni ahamiyat hai ke is ko lene waala khud khoda hai, jis tarah dusre omur me khoda ne apne numaaeinde moqarrar kiae hain yahaan waisa nahi hai


khoda hi ka irshaad hai :


" ... allaah ka haath oun ke haath ke oupar hai ... "


( surah fath 10 )

lehaaza adab ka taqaaza ye hai ke insaan ka haath khoda ke haath ke niche ho


hamaare darmeyaan sadqah dene ka jo tariqah raa'aej hai yaani "dene waale ka haath oupar hota hai aur saa'ael ka niche" monaasib nahi hai


log mokhtalif tarah ke ma'aashi masaa'ael ka shekaar hain oun ke hal ke liae aek behtarin tadbir sadqah hai, is me samaaji mushkelaat ... ka hal hai


khud sadqah dene waale ke liae bhi dunya wa aakherat donon me naf ( نفع ) bakhsh hai, be-shomaar faa'aede, asaraat aur barakaat ... hain sadqah mahfuz shudah zakhirah hai

Fd ki tarah hai


asl haqiqat ka inkeshaaf maut ke baad hoga is liae ke ous waqt aankhon ke saamne se tamaam parde hat jaaen ge is hasrat ka izhaar kare ga ke kaash aek mauqa phir mil jaata to ji bhar ke raahe khoda me infaaq wa sadqah dete


2. mustahabbi sadqaat me sadqah lene waale ke liae faqr, eimaan ya islaam shart nahi hai lehaaza ghani, sunni aur kaafir wa but'parast ko bhi mustahabbi sadqah de sakte hain


lekin kaafire harbi aur naasebi ( dushmane ahlebait سلام الله عليهم ) ko chaahe qaribi rishtedaar hi keyon na ho, nahi de sakte hain

albatta zarurat mand wa momin ko moqaddam rakhna behtar hai


agar saa'ael zarurat mand na ho tab bhi ous ko khaali haath lautaana makruh hai lehaaza kuchh na kuchh dena chaahiae


maangna makruh hai makhsusan jo mohtaaj wa majbur nahi hai, ous ke liae maangne me karaahat shadid hai albatta haraam nahi hai


aehteyaate mustahab ye hai ke jo mohtaaj nahi hai wo daste sawaal daraaz na kare


3. imaame zamaana ( عجل الله فرجه الشريف ) ka sadqah mustahabbi hai lehaaza No 2 ka jo jawaab hai wahi is sawaal ka bhi hai


4. sab imaamon ( سلام الله عليهم ) ka nikaal sakte hain makhsusan imaame zamaana ( عجل الله فرجه الشريف ) ka


"muntahal aamaal" me dauraane ghaybate kubra imaame asr ( صلوات الله عليه ) ke muntazerin wa bandon ki kuchh zimme'daariyon ka zikr hai ous me se aek ye hai ke jetna bhi momkin ho aap ke mobaarak wojud ki hefaazat ke liae sadqah den


( jild 2 p 629 fasl 6 taalif seqatul mohaddesin shaikh abbaas qomi saahebe mafaatihul jenaan )

5. ji haan nikaal sakte hain is ki bahot ahamiyat hai, nikaalne waale aur murdah donon ke liae mofid hai


mazid tafsil di gaei link me dekh len




6. sadqe ka mafhum bahot wasi hai, har nek kaam sadqah hai chaahe maal se ho ya ghair maal se. masalan momin se khandah peshaani se milna, ous ko khush karna, muzi chiz ko raaste se hataana aur kisi ko aek ghont paani pilaana ... sadqah hai


naqdi wa maali aur ghair naqdi wa maali donon sadqe me de sakte hain mustahabbi sadqaat ke be shomaar tariqe hain


aayaat aur rewaayaat ke motaabiq sadqah " tayyebaat = طَيِّبَات " se dena chaahiae yaani paak wa halaal maal se, aiysa maal jis ko halaal kamaaei se haasil kiya hai ous se sadqah den


dusre ye ke khoda ki khush'nudi ke liae sadqah dete hain ye aebaadat hai is ko khoda se taqarrub ki niyat se dena chaahiae


lehaaza aiyse maal se den jis se aap ko mohabbat hai, wo aap ke nazdik pasandidah wa mahbub ho

naa'chiz aur aiyse maal wa saamaan se na den jo istemaal aur istefaadah ke qaabil nahi hai ya ous ki koei qimat nahi hai, mokhtasar ye ke apni mahbub aur paakizah kamaaei me se den taake pata chale allaah ki mohabbat maal ki mohabbat par ghaalib hai


is baare me surah baqarah 267 aur aale imraan 92 molaaheza farma len


sadqe ke mota'alliq tafsili maalumaat ke liae site me "menu" me sadaqaat ka shoba dekh len


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔18 / جمادى الاولى / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen