jute ya chappal pahen kar qur'aan ki telaawat | tasbih | namaaz padhna | telaawat ke aadaab - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, January 30, 2021

jute ya chappal pahen kar qur'aan ki telaawat | tasbih | namaaz padhna | telaawat ke aadaab

Sawaal az : mohtaram janaab zaahid sb / +919892.... (Mombai)


Salamunalaikum Maulana
Khairiyat


Sawaal hai mera ke jab ham office me rahte hai kya hum Quran Sharif padh sakte hai hamare pairo me joote ya chappal hote hai. Ya phir hamko joote/chappal nikaal Kar padhna chahiye. Bas waqt dekha gaya ke office ke computers me bhi Quran Sharif hota hai to us waqt kuchh log quran sharif padhte baghair joote chappal nikale. Kya hum Quran Sharif joote chappal pehan kar padh sakte hai ya usey nikaal kar phir padhna hai. Aur Bas waqt Maine yeh bhi dekha hai ke log Safar par jaate hai to unke pairo par joote chappal hote hai lekin haath me Tasbeeh bhi hoti hai chalte chalte tasbih bhi padh Rahe hai. Kya yeh jaaez hai. Please Detail me bata dijiye. shukriya


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
الحمدلله


Mokhtasar jawaab :


urf-e-aam me yaani momenin ke nazdik ye qur'aan aur tasbih ki be aehteraami nahi hai lehaaza jaa'aez hai koei haraj nahi hai
jute chappal outaarna zaruri nahi hai


hatta raah chalte waqt wa sawaari ki haalat me jaise train, jahaaz, kashti waghairah me mustahabbi namaazen bhi padh sakte hain، qibla rukh hona zaruri nahi hai aur roku wa sajde aeshare se karen, ruku me mokhtasar sar jhukaa'aen aur sajde me kuchh zeyaadah


Qadre tafsili jawaab :


Qur'aan kalaame khoda hai pas qur'aan ka aehteraam, khoda ka aehteraam hai. qur'aan ka aehteraam taqwa ki neshaani hai


Telaawat ke zaaheri Aadaab hain aur baateni Aaadaab


zaaheri Aadaab me se baaz ye hain :


  1. telaawat ke pahle miswaak (Toothbrush) karna

  2. baa'wozu rahna

  3. khud Qur'aan se padhna (mobile waghairah se nahi)

  4. Qur'aan ke hozur me adabo aehteraam se baithna

  5. rukh Qibla ki taraf hona

  6. dauraane telaawat kisi chiz par tek na lagaana

  7. sar jhuka kar padhna

  8. monaasib jagah jaiyse rahal waghairah par Qur'aan rakh kar padhna

  9. zehan me ho ke apne oustaad ke saamne baithe hain

  10. monaasib jagah telaawat karna

Amirul momenin Ali (عليه السلام) ka irshaad hai :


7 jagah qur'aan nahi padhna chaahiae :


  1. haalat-e-roku me

  2. halat-e-sajdah me

  3. pakhana (toilet) me

  4. hammaam me

  5. haalat-e-janaabat me

  6. haalat-e-haiz (حيض) me

  7. haalat-e-nefaas me

(in jaghon par qur'aan padhna haraam nahi hai balke foqaha ke ba-qaul makruh hai, yaani sawaab kam hai)


lekin 5 - 6 aur 7th haalat me oun surah yaa aayat ko padhna haraam hai jis me sajdah waajib hai


baateni aadaab aur mustahabbaat me se baaz ye hain :


  1. saaheb-e-kalaam ki azmat ko samajhna

  2. kalaam-e-aelaahi ki azmat wa buzurgi ko samajhte huae padhna

  3. hozur-e-qalb

  4. ghaur-o-tadabbur se padhna

  5. maani wa mataalib se aagaahi haasil karne ki koshish aur ous par tawajjoh ...

  6. qur'aan karim ki aayaat "يَا اَيُّهَاالنَّاسُ (ay insaan)" aur "يَا اَيُّهَاالَّذِينَ آمَنُوا (ay logo jo eimaan laa'ae ho)" ki telaawat ke baad aahiste se " labbaik rabbana = لَبَّيك رَبَّنَا " yaa " allaahumma labbaik = اَللَّهُمَّ لَبَّيك " kahen

  7. jin aayaat me bahisht ka zikr hai ous ki telaawat ke baad khoda se bahisht ka taqaaza karen

  8. aur jis aayat me jahannam aur azaab ka zikr hai ous ko padhne ke baad khoda ki panaah maangen


  9. surah rahmaan me aayat :

  10. فَبِاَىِّ آلَاءِ رَبِّكُمَا تُكَذِّبَان


    "pas (ay insaano aur jino) tum apne parwar'degaar ki kis kis nemat ko jhutlaao ge"


    31 baar aaei hai, oun ki telaawat ke baad kahen :


    لَا بِشَئٍ مِن آلَائِكَ رَبِّ اُكَذِّبُ


    "laa be shay'ein min aalaa'aeka rabbe okazzebo"


    Mafhum :


    "parwar'degaara me teri kisi bhi nematon ko nahi jhutlaata hun"


Note :


qur'aan ka haqiqi aehteraam ous waqt hai jab ham qur'aan ki raahnumaaei wa hedaayat par amal karen
qur'aan ke farmaan ko apni zindagi me naafiz karen, is liae ke qur'aan dars-e-zindagi bhi hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawalaat Qum / Iran


1 / شعبان / 1439 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen