Sawaal az : khaahar-e-geraami
Mera sawal hai kya chhat par baith ke sipara padh sakte hain. jaise alag alag pare hote hain ye socha jay ke ek para chhat par le kar chalte hain dhoop me baith ke padh lenge to kya padha ja sakta hai
Kyu ki kisi ne etraaz kiya ke nahi pdhte hain
Mera naam mentioned na kijiyega
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
Ji chhat par baith kar aur qur'aan hakim ko 30 ajza (paaron wa hisson) me taqsim kar ke alag alag padh sakte hain, hatta aek hizb (manzil) ki meqdaar me ho tab bhi padh sakte hain
Qadre tafsili jawaab :
Zaaheran aap ka sawaal "Mahalle telaawat" aur "Meqdaare telaawat" ke mota'alliq hai
Mahalle telaawat :
Qur'aan majid ki telaawat kisi khaas maqaam wa makaan aur jagah se makhsus nahi hai
Har ous jagah wa maqaam par telaawat kar sakte hain jahaan telaawat karna qur'aan karim ki tauhin wa be'aehteraami ka sabab na bane
Lekin baaz maqaamaat par telaawat karne ki fazilat, aasaar aur faa'aede zeyaadah hain jaiyse masjid aur ghar ke andar ... telaawat karna
Rasule Khoda ( صلى الله عليه وآله) ne irshaad farmaaya :
نَوِّرُوا بُیُوتَکُم بِتِلَاوَةِ القُرآنِ وَلَا تَتَّخِذُوهَا قُبُوراََ كَمَا فَعَلَتِ اليَهُودُ وَالنَّصَارَى ، صَلُّوا فِى الكَنَائِسِ وَالبِيَعِ وَ عَطِّلُوا بُيُوتَهُم فَاِنَّ البَيتَ اِذَا كَثُرَ فِيهِ تِلَاوَةُ القُرآنِ كَثُرَ خَيرُهُ وَ اِتَّسَعَ اَهلُهُ وَ اَضَاءَ لِاَهلِ السَّمَاءِ كَمَا تُضِىءُ نُجُومُ السَّمَاءِ لِاَهلِ الدُّنيَا
"Apne gharon ko qur'aan ki telaawat se nuraani karo, ounhen qabren moqar'rar na karo jaiysa ke yahud aur nasaara ne kiya "Kelisa" aur "Girja" (yahudiyon aur eisaaeioun ka aebaadat khaana) me namaaz padhi (aebaadat ki) aur apne gharon ki taatil wa chhut'ti kar di, be'shak jis ghar me kasrat se telaawate qur'aan ho ous ki khair (wa barkat) bahot zeyaadah ho jaati hai aur wo ghar apne ahl ke liae koshaadah ho jaata hai aur aasmaan waalon ko (is tarah) raushan karta hai jis tarah aasmaan ke taare dunya waalon ko raushan karte (wa chamkaate) hain"
(Osule kaafi jild - 2 p - 610 h - 1 ketaabo fazlil qur'aan)
(Ghar me telaawat karna tarbiyate aulaad ke liae bhi mofid hai, bach'che badon se telaawat karna sikhen ge)
"Apne gharon ko qabren moqar'rar na karo (qabren na banaao)" ki mokhtasar wazaahat :
Is se moraad ye hai ke wo ghar jahaan qur'aan ki telaawat nahi hoti qabron ke maanind taarik wa andhera ho jaata hai jaiyse murdon ke liae qabron me telaawat nahi, tumhaare ghar oun jaiyse na hon. "qobura" isi taraf aeshaarah hai lehaaza qabr khod kar dafn karna moraad nahi hai
Meqdaare telaawat :
Telaawat ki koei meqdaar mota'ay'yan nahi hai lehaaza har shakhs apne haalaat aur kaiy'fiyaat ... ke motaabiq telaawat kare
Misaal ke taur par baaz bimaar hote hain aur baaz ma'aash ki talaash me safar karte hain ... aur baaz kuchh nahi karte ... sab ke liae telaawat ki meqdaar yaksaan wa baraabar nahi hai
Inhi baaton ke peshe nazar surah mozammil aayat 20 me hai :
... فَاقرَؤُا مَا تَيَسَّرَ مِنهُ ...
"... Pas jetna aasaani se ho sake (otna) qur'aan padh liya karo ..."
Albatta ham ko hamesha koshish karni chaahiae ke har roz 50 aayaat padhen
Imaam Saadiq ( عليه السلام) ka irshaade geraami hai :
اَلقُرآنُ ، عَهدُ اللهِ اِلَى خَلقِهِ فَقَد يَنبَغِى لِلمَرءِالمُسلِمِ اَن يَنظُرَ فِى عَهدِهِ وَ اَن يَقرأَ مِنهُ فِى كُلِّ يَومِِ خَمسِينَ آيَةً
"Qur'aan, khoda ka ahd naamah hai apni makhluq ki jaanib, pas yaqinan musalmaanon ke liae sazaawaar hai ke apne ahd naamah par negaah wa nazar daale aur ous se har roz 50 aayat padhe"
(Osule kaafi jild - 2 p - 609 h - 1 ketaabo fazlil qur'aan)
Jawaab ke aekhtetaam par ye arz kar dun ke aashiq, maashuq ke khat ko ghaur se harf ba harf baa'rahaa padhta hai
Niche diae gae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
17 / جمادى الثانى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment