Keya janaabe Oummul Banin Moaawiyah aur Shimr ki rishtedaar thi'n ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, January 6, 2021

Keya janaabe Oummul Banin Moaawiyah aur Shimr ki rishtedaar thi'n ?

sawaal az : khaahare geraami Munni sb / mumbai


Salamun alaikum
Apse mujhe kuchh sawal karna hai


Ummul baneen kya mawiya ki rishtedar thi ?


Jawaab :


باسمه تعالى
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


Hazrat Oummul Banin (سلام الله عليها) ki koei rishtedaari "Mo'aawiyah Bin Abu Sufyaan" se nahi thi


dushman ki jaanib se is tarah ka shoshah haqaa'aeq se tawajjoh hataane ke liae chhoda jaata hai


oun hi me se aek shoshah waaqe'aae karbala ki asl haqiqat aur maqsad se tawajjoh hataane ke liae chhoda jaata hai ke "Shimr Zil Jaushan (لعنةالله عليه) "Hazrat Oummul Banin" (سلام الله عليها) ka bhaa'ei hai yaani Hazrate Abbaas (سلام الله عليه) ka maamu hai


ye baat bhi bil'kul naa durust hai. Janaabe Oummul Banin (سلام الله عليها) ki koei qaribi rishtedaari "Shimr" (لعنةالله عليه) se nahi hai


durust hai ke donon ka ta'alluq aek hi qabile (Kelaab) se hai aur silsila'ae nasab chand waaston se "Kelaab Bin Rabi'ah" tak pahunchta hai lekin bhaa'ei bahen nahi hain


"Kelaab" ke 11 ladke the, aek ka naam "Kaab" aur dusre ka "Zebaab = ضِبَاب" hai (Zebaab ka dusra naam "Mo'aawiyah" hai)


Hazrat Oummul Banin (سلام الله عليها) "Kaab" ki nasl se hain aur "Shimr" (لعنة الله عليه) "Zebaab" (mo'aawiyah) ki nasl se hai


Hazrat Oummul Banin (سلام الله عليها) ke waalid "Hezaam Bin Khaalid Bin Rabi'ah" hain aur Shimr maloun ke baap "Jaushan Bin Shorah'bil Bin Aawar Bin Amr Bin Mo'aawiyah (Zebaab) hain
[جَوشَن بِن شُرَحبِيل بن اَعوَر بن عَمرو بن معاويه (ضباب)]


(maqtalul husain p 209 taalif saiy'yid abdur razzaaq musawi al maaruf ba moqarram)


Hazrat Oummul Banin (سلام الله عليها) aur Shimr (لعنةالله عليه) ke silsilae nasab me aek shakhs ka naam "Zebaab yaani Mo'aawiyah" hai, shaayad is wajah se "Janaabe Oummul Banin" (سلام الله عليها) ko "Mo'aawiyah" ka rishtedaar bataaya gaya hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


22 / جمادى الاولى / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen