Sawaal az : mohtarama janaab Saniya Zahra Sb.
Kya Namaaz-e-hadya waledain sirf waledah Ke liye padhi ja sakti hai
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
is namaaz ka ounwaan "namaaze waaledain" hai aur is ke tariqe me Surah Ibraahim aayat 41 :
رَبَّنَا غفِرلِى وَ لِوَالِدَىَّ ...
"ay hamaare parwar'degaar mujhe aur mere maa baap ... ko bakhsh de jis din hesaab hone lage"
aur Surah Isra ayaat 24 :
...رَبِّ ارحَمهُمَا كَمَا رَبَّيَانِى صَغِيراََ
"...parwar'degaara oun (maa, baap) par raham farmaa jis tarah oun'hon ne mujhe bachpan me paala tha" ka zikr hai
is ke peshe nazar ... ye namaaz waaledain ke liae makhsus hai is ko "banaame waaledain" dusron ke liae padhna jaa'aez nahi hai albatta koei dusri namaaz jaiyse 2 rak'at Namaaze hadiyah ya mustahabbi namaaz dusron ke liae bhi padh sakti hain
aap ne puchha hai ke sirf waaledah ke liae padhi jaa sakti hai ya nahi ?
mushkil aur wajah keya hai ke dono ke liae na padhi jaa'ae ?
is liae ke ye namaaz dono ke liae hai
wajah wa sabab bataa'aen taa'ke ousi aetebaar se jawaab diya jaa'ae
bahar'kaif bil'farz kisi ke waaledain me se koei ek musalmaan nahi hai to jab tak oun ki hedaayat se maayus na ho jaa'aen oun ke liae doa karne me koei haraj nahi hai. albatta oun ki hedaayat ke liae koshish karna zaruri hai misaal ke taur par oun ke liae mofid aur ilmi ketaaben faraaham karna ... taa'ke shubh'haat aur bad'bini ... dur ho jaa'ae
bil'aakhir agar oun ki hedaayat se maayus ho jaa'aen to is surat me sirf musalmaan waaleda ya sirf musalmaan waalid ke liae padhi jaa sakti hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
- keya zindah waaledain ke liae namaaze hadiya baraae waaledin padh sakte hain ? | is ka faa'aeda
- Doa ke pahle aur baad salawaat keyon ? | aulaad ki namaaz baraa'ae pedaro maadar | waqt | tariqa
- Waaledain ki maghferat ke liae namaaz padhne ka waqt
- Maahe zilqaadah me itwaar ke din namaaze tauba padhne ka tariqa | fazilat | faa'aedah
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
10 / جمادى الثانى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment