sawaal az : mohtaram janaab Arsalan Askari sb (gujarat)
Salamun Alaikum
Aurtoun Ki Namaz Bata Dein Tafseel Se...Kuch Log Kehte Hai Aurat Namaz Me Haath Baandh Skti Hai Agar Haan Phir Haath Kaise Bandhne Hai...Or Agar Aurat Kaa Namaz Me Hijaab Sirf Muh Or Baalo Ko Cover Kare To Kya Wo Hijaab Theek Hai Yaa Poora Hijaab Karna Hoga Sar Se Lekar Paav Tak Kaa...Or Agar Usne Sar Se Lekar Paav Tak Kaa Hijab Kiya Hai Tab Wo Qunoot Hijaab Ke Andar Karegi Yaa Haath Bahar Nikal Kar Or Aise Hi Rafa Yadain Hijaab Ke Andar Karegi Yaa Haath Bahar Nikalkar.?
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهmard aur aurat dono ke liae namaaz me khozu wa adab ki niyat se amadan haath baandhna bid'at wa haraam hai aur namaaz bhi baatil ho jaae gi
is ko feqhi istelaah me "takfir, taktif, takattuf ... " kahte hain, ye mubtalaate namaaz me se hai
baaz rewaayaat aur feqhi ketaabon se is ki taraf aeshaara hai ke qeyaam ki haalat me auraton ke liae mustahab hai ke apne haathon ki hatheli pistaanon par rakhen lekin aehteyaat ka taqaaza ye hai ke aiysa na karen is liae ke baaz foqaha ke nazdik is ka mustahab hona saabit nahi hai
qaabile zikr hai ke :
qeyaam ki haalat me khawaatin ke liae behtar hai ke apne shaanon aur baazu'aon ko badan ke andar ki jaanib is tarah rakhen ke pistaan zeyaadah se zeyaadah mastur aur poshida rahe aur haathon ko raan par rakhen
agar hejaab se aap ki moraad masalan bada dopattah ya badi chaadar ... hai to koei farq nahi padta ke haath dopatte aur chaadar ke andar hon ya baahar
qonut ke liae dopatte waghaiyrah ke andar se hi apne haath outha sakti hai
baaqi sawaal ka jawaab niche diae gae jawaab me molaaheza farma len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔21 / جمادى الاولى / 1442 ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment