Sawaal az : khaahar-e-geraami / gujaraat
Salam
Ek sawal Ye hai Ke Jo aurte Namaz juma Jisme sure mulk aur sure monafequn hai agr Woh padhti hai to Kiya Woh Namaz zuhar ada krengi ya nahi ?
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهnamaaz-e-jum'aa jamaa'at ke saath hoti hai lehaaza foraada ( tanha ) nahi padhi jaa sakti hai
agar sharaa'aet ke motaabiq namaaz-e-jum'aa qaa'aem hai aur aap ne padh li to yahi kaafi hai, namaaz-e-zohr padhna zaruri nahi hai
namaaz-e-jum'aa me behtar wa mustahab hai ke imaam-e-jum'aa pahli rak'at me surah hamd ke baad surah jum'aa aur dusri me surah hamd ke baad surah monaafequn padhen
albatta dusra surah bhi padh sakte hain, surah jum'aa wa monaafequn padhna zaruri nahi hai
Note :
- jamaa'at se namaaz padhen to pahli wa dusri rak'at me surah nahi padh sakte / sakti hain, imaam-e-jamaa'at ka padhna kaafi hai
-
shabe jum'aa namaaz-e-aesha ki pahli rak'at me surah hamd ke baad surah jum'aa aur dusri me surah hamd ke baad surah monaafequn padhna mustahab wa sunnat hai
isi tarah roz-e-jum'aa, namaaz-e-subh, zohr aur asr ki pahli rak'at me hamd ke baad surah jum'aa aur dusri me surah hamd ke baad surah monaafequn padhna mustahab wa sunnat hai -
Roz-e-jum'aa imaam jamaa'at ya foraada padhne waale / waali ke liae namaaz-e-zohr ki do rak'at me surah hamd wa dusra surah baland aawaaz ke saath padhna mustahab hai
albatta agar naa mahram sun raha hai to auraten baland aawaaz se na padhen
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔24 / شوال / 1440ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment