hazrat fizzah ke maa baap ka naam | ahamiyat | fazilat | ibne taymiya ka jawaab - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, January 15, 2021

hazrat fizzah ke maa baap ka naam | ahamiyat | fazilat | ibne taymiya ka jawaab

sawaal az : mohtaram janaab lucky rizvi sb


As'Salaamun Alaikum bhai

Ek sawal puchna tha..


Janabe Fizza s.a ke Maa baap ka Naam kya tha...??


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

hazrat "fizzah nubiyah = فضه نُوبِيَّه" janaabe zahra ( سلام الله عليها ) ki khaadema wa kaniz thin


"nubiyah" kahne ki wajah ye bataaei gaei hai ke aap sudan ya jonube misr me waaqe aek shahr "nubiyah" ki rahne waali thin


baaz ne aap ko hindustaani aur baaz dusre ne hindustaan ke aek baadshaah ki beti bhi bataaya hai


aap ke baap maa ka naam keya tha ?


is hawaale se maalumaat ke mamba me koei baat nahi kahi gaei hai


Note :


aiy'yaame faatemiyah ( سلام الله عليها ) ke peshe nazar chand aiysi baaton ka zikr monaasib hai jis se hazrate fizzah ki ahamiyat aur fazilat ka andaazah lagta hai


1. takfiriyon ka sar'ghana aur naasebi "ibne taiy'miyah" ne likha hai "ali aur faatemah ke liae koei aiysi kaniz nahi thi jis ka naam fizzah tha "

is ne janaabe fizzah ke wojud se hi inkaar kar diya jab ke sunniyon ki qadimi aur motabar ketaabon me aap ka zikr hai masalan "ousdul ghaabah fi maarefatis'sahaabah" me "ibne asir sb likhte hain" fizzah nubiyah faatemah binte rasule khoda ki kaniz thin aur surah dahr ( insaan, hal ata, abraar ) ke shaane nozul ke mota'alliq tafsili likha hai is surah ke shaane nozul me janaabe fizzah bhi sharik hain


ye surah janaabe fizzah ki bhi shaan-o-manzelat par aek mohkam dalil hai


2. ahle saqifa ne jab hazrate zahra ( سلام الله عليها ) ke ghar ko nazre aatish kiya ... to aap ne farmaaya :


يَا فِضَّه اِلَيكِ فَخُذِينِى

"ay fizzah mujhe sahaara do khoda ki qasam wo bach'cha ( mohsin ) jo mere shekam me tha shahid kar diya gaya"


shahzaadi'ae kaunain ( سلام الله عليها ) ne janaabe fizzah ko aawaaz di, is se bhi aap ki ahamiyat ka andaaza lagta hai


yahaan ye baat bhi qaabile ghaur hai ke aap ne ye nahi kaha "ay fizzah aao" balke kaha mujhe sahaara do ( pakdo ) is ka matlab ye hai ke aap gir rahi thin ous waqt sanbhaalne ke liae bolaaya


3. aap ki shahaadat ke baad janaaze se rokhsat aur al'wada kahne ka waqt nazdik aaya to amirul momenin Ali ( عليه السلام ) ne apne bach'chon ko naam ba-naam bolaaya ous me janaabe fizzah ka bhi naam hai

ye hai janaabe fizzah ki ahamiyat aur fazilat

Hawaalaajaat :


  1. ousdul ghaabah fi maarefatis sahaaba jild 5 p 530 ketaabun nesa baabul faa

  2. aalaamun nesaa'eil momenaat p 696 taalif mohammad al maaruf ba has'sun

  3. behaarul anwaar jild 9 p 575


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔1 / جمادى الثانى / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen