sawaal az : mohtaram janaab Wajid Ali sb ( Chhattisgarh )
Salamun Alaikum Aagha Sahab ...
Mere kaan ( ear ) ke parde ka operation hua tha lekin minor sa hole operation fail hone ki vajah se rah gaya . doctor ne pani se bachane ke liye kaha hai varna fir se operation ki naubat aa jayegi.
Is condition me mai kaan me cotton aur vaseline laga kar nahata hu lekin ghusl karne me problem hai ke cotton aur vaseline kaan me laga rahta hai . Is condition me kaan ke kitne hisse ko dhona zaruri hai ? Plz wazahat farma dijiye.
Aagha Sistani Sahab ...
Khuda apko mazeed qamyabi ata farmaye aameen
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهjo kaan ka hissa zaahir hai aur dekhaaei deta hai ghusl me ous ka dhona waajib hai lekin jo hissa chhupa huaa hai aur ourf me baateni hissah samjha jaata hai ous ka dhona waajib nahi hai
mokhtasar ye ke jo badan ka hissa dekhaaei nahi deta hai jaiyse kaan aur naak ka andaruni hissa niz naak aur kaan me kil aur baali wa bunde pahenne ki jagah ka suraakh ... ous ke andar paani daalna zaruri nahi hai
bahar kaif agar ghusl karna aap ke liae noqsaan deh ho to phir ghusl ke badle tayammum karen
niche diae gae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔25 / جمادى الاولى / 1442 ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment