sawaal az : ... / karachi
Salam... Qibla kse hn ap...
mera sawal ye hai ke kia ghusal-e-janabat me naaf ke andar ungli se dhona wajib hai ya usy androni hissa gina jaega plz jawab de den... naam aur number share nahi karenge plzzz...
aur agar koi ye shak kare ke jism ka ye hissa ya koi bhi shayad nahi dhoya hai to kia ghusal thek hoga ya batil ho jaega... shak aur wahem ki is mamlay me kia hasiat h ghusal k bd?
Jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله(1) agar ourf-e-aam me naaf ka shumaar jism ke andaruni hisse me hota hai to naaf me paani daalna wa dhona zaruri nahi hai
agar shak hai ke keya badan ka zaaheri hissa hai ya andaruni ?
to is ki 2 surat hai :
1. pahle badan ka zaaheri hissa tha yaani ourf-e-aam me ous ka shumaar zaaheri wa baahari hisse me hota tha lekin ab shak hai
2. pahle badan ka zaaheri hissa nahi tha balke andaruni hissa tha ya pahli haalat maalum wa moshakh'khas nahi hai ke badan ka zaaheri hissa tha ya baateni ?
pahli surat me dhona waajib hai
dusri surat me aehteyaat-e-waajib ke taur par dhoen
yahi hukm jism ke dusre hisson ka hai
(2) agar ghusl karne ke baad shak ho ke keya ghusl sahi tha ya nahi ? ya folaan hisse par paani pahuncha ya nahi ?
to ghusl sahi hai dobaara ghusl karna zaruri nahi hai , apne shak ki parwaa na karen
Note :
ghusl me tamaam zaaheri badan par paani bahaana ya pahunchaana laazemi hai lekin haathon ya oungli ... ke zariae pahunchaana zaruri nahi hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔18 / شعبان / 1441ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment