Sawaal az : Mohtaram janaab Syed Husain sb
As'salam O Alaikum Allama Sahab, Ya Ali a.s Madad.
Furue deen me ehteyat par kis tarah amal kiya ja sakta hai uske sharayet kya kya hai iski tafseel se wazahat ka muntazir rahunga.
Shukra'guzar rahunga aap sabhi ka 🙏 , khuda apki mehnat aur ibadato ko qubool Farmaye aameen
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
شکریہdeen ke foru'ei masaa'ael aur ahkaam me apni shar'ei zimmedaariyon aur faraa'aez par is tarah amal kare ke apne fariza aur shar'ei zimmedaari ki adaa'aegi ka itminaan wa yaqin ho jaae
zaahir hai jab tamaam aehtemaalaat par amal kare gaa tab tarke haraam ya anjaame waajib ka yaqin ho ga
misaal :
1. mujtahedeen aur foqahaa-e-keraam ka aek geroh aek kaam ko haraam samajhta hai aur dusra geroh ousi kaam ke baare me kahta hai ke haraam nahi hai jaiyse cigarette noshi ko aek geroh haraam kahta hai aur dusra kahta hai haraam nahi hai to is kaam ko anjaam na de
2. mujtahedeen aur foqahaa me se baaz aek kaam ko waajib samajhte hain aur dusre ousi kaam ko waajib nahi samajhte hain balke kahte hain mustahab hai jaiyse baaz ke nazdik tisri aur chauthi rak'at me tasbihaate arba'ah 3 baar padhna waajib hai aur baaz ke nazdik 3 baar padhna waajib nahi hai balke mustahab hai to ous ko bajaa laae yaani 3 baar padhe
baaqi tafsil niche diae gae jawaab me molaaheza farma len
- keya taqlid ka munkir | marja ke mas'ale par amal na karne waala islaam | shi'at se khaarij ho jaae ga ? || ahkaam me ijtehaad | aehteyaat | tqlid
- ijtehaad | taqlid | moqallid (video👇)
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad - patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔27 / جمادى الاولى / 1442 ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment