Sawaal az : mohtarama janaab Nasreen sb (Lahore / Pakistan)
Salam mere husband 80 years ke hain meri bahu mere beta (son) ki biwi par namahram ki wajah sa ous ko parda karna chahiye
Aqaa sistaani
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
bete ke saath sirf aqde nekaah hone se hi sasur aur bahu aapas me mahram ban jaa'aen ge is me dokhul shart nahi hai yaani agar bete ne ham bistari na ki ho tab bhi mahram hain
aur ye mahramiyat abadi wa daa'aemi hai hamesha ke liae hai yaani (khoda na kare) agar bete ne talaaq de di ya bete ka inteqaal ho gaya tab bhi ye donon (sasur aur bahu) aapas me mahram rahen ge
zaahir hai jab mahram hain to parda karna waajib nahi hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
5 / جمادى الاولى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment