sawaal az : Mohtaram janaab Syed Husain sb
As'salam O Alaikum Allama Sahab, Ya Ali a.s Madad.
Namaz me sajdah, ruku, kunut aur dusre arkan par wajib ke alawa izafe ( mazeed sawab ) ke liye kya kya padha ja sakta hai. Arabic aur uska tarjuma dono hi bayan kar dijiye. Aur kya namaz me kisi maqaam par dushman e Ahlebait a.s par lanat kar sakte hai agar ijazat hai to Kin jumlo me ada kiya jaye.
Shukra'guzar rahunga aap sabhi ka, khuda apki mehnat aur ibadato ko qubool Farmaye aameen
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهmustahabbaate namaaz ko 2 qismon me taqsim kiya jaa sakta hai mustahab amal wa fel aur mustahab zikr
namaaz me darj zail zikr bajaa laana mustahab wa baa'aese sawaab hai :
(1) pahli rak'at me surah hamd padhne ke pahle ( اَعُوذُ باِلله مِنَ الشَّيطَانِ الرَّجِيم ) a'ouzo billah menash shaitaanir rajim ( me panaah maangta hun khoda ki shaitaan mardud se ) kahna
(2) agar jamaa'at ke saath padh rahe hain to imaame jamaa'at ka surah hamd mokammal hone ke baad aur agar foraada ( tanha ) padh rahe hain to khud ka surah hamd mokammal hone ke baad ( اَلحَمدُ لِلّهِ رَبِّ العَالَمین ) "alhamdo lillah rabbil aalamin" ( sanaae kaamil aur sab taarifen allaah ke liae hain jo saare jahaan ka rab wa paalne waala hai ) kahna
(3) surah tauhid ( qul howal'laah ahad ) padhne ke baad 1 ya 2 ya 3 martaba ( كَذَالِكَ اللهُ رَبِّى ) "kazaalekal'laah rabbi" ( mera rab allaah aiysa hi hai )
ya ( کَذَالِکَ اللهُ رَبُّنَا ) "kazaalekal'laah rabbona" ( hamaara rab allaah aiysa hi hai ) kahna
(4) khade hone ki haalat me roku ke pahle takbir kahna
(5) zikre roku ( سُبحَانَ رَبِّى العَظِيمِ وَ بِحَمدِهِ ) "subhaana rabbeyal azime wa be hamdehi" ( badi azmat waala mera parwar'degaar har qism ke aib aur naqs se paak wa mobarra hai aur me ous ki hamd-o-sataa'eish me masruf hun ) ko 3 ya 5 ya 7 martaba ya is se zeyaadah kahna
(6) roku se outhne ke baad aur sidhe khade ho jaane ke baad
( سَمِعَ اللهُ لِمَن حَمِدَهُ ) "same allaaho leman hamedahu" ( khoda sune aur qabul kare ous shakhs ki sana ko jo ous ki sataa'eish karta hai ) kahna
(7) jo shakhs khade ho kar namaaz padh raha hai roku se sar outhaane ke baad aur mokammal khade ho jaane ke baad aur jo shakhs baith kar namaaz padh raha hai mokammal baithne ke baad sajdah me jaane ke liae takbir kahna
(8) zikre sajdah ( سُبحَان رَبِّىَ الاَعلَى وَ بِحَمدِهِ ) "subhaana rabbeyal aala wa behamdehi" ( bahot aala mera rab hai har qism ke aib aur naqs se paak aur mobarra hai aur me ous ki hamd-o-sataa'eish me mashghul hun ) ko 3 ya 5 ya 7 martaba ya is se zeyaadah kahna
talabe haajat ke liae sajdah me is doa ko padhna :
يَا خَيرَ المَسؤُلِينَ وَ يَا خَيرَ المُعطِينَ ، اُرزُقنِى وَرزُق عِيَالِى مِن فَضلِكَ ، فَاِنَّكَ ذُوالفَضلِ العَظِيم
"yaa khairal ms'oulin wa yaa khairal motin, our'zuqni warzuq aeyaali min fazleka, fa innaka zul fazlil azim"
"ay behtarin ( zaat ) jis se darkhaast wa ilteja karte hain aur ay behtarin ata karne waala, apne fazl se mujhe aur mere ahl-o-aeyaal ko rozi wa rizq ata farma, bela shubha tu bada saahebe fazl hai"
(9) roku aur sajdah me zikr ke pahle ya ous ke baad salawaat bhejna
(10) har sajde ke baad jab baith gae aur badan thahar ( ٹھہر ) gaya wa qaraar pakad liya to takbir kahna
(11) pahle sajdah ke baad jab badan thahar gaya to ( اَستَغفِرُ الله رَبِّى و اَتُوبُ اِلَيهِ ) "astaghferulla rabbi wa atubo aelaihe" ( maghferat talab karta hun ous khoda se jo meri parwarish karne waala hai aur me ous ki taraf laut kar waapas jaaoun ga ) kahna
(12) dusre sajde me jaane ke liae badan thahar jaane ki haalat me takbir kahna
(13) sajde ya tashah'hud ke baad
( بِحَولِ الله وَ قُوَّتِهِ اَقُومُ وَ اَقعُدُ ) "be hau lillah wa quwatehi aqumo wa aq'odo" ( khoda ki madad aur ous ki taaqat wa qudrat se khada hota hun aur baithta hun ) kahte huae khade hona
(14) tisri aur chauthi rak'at me tasbihaate arba'ah 3 martaba padhna behtar hai aur ous ke baad istighfaar karna bhi mustahab hai masalan kahen :
"astagh ferullaah rabbi wa atubo aelaihe" ( اَستَغفِرُ الله رَبِّى و اَتُوبُ اِلَيهِ ) ya kahen ( اَللَّهُمَّ غفِر لِى ) "allaahummagh fir li" ( khodaaya mujhe moaaf karde )
tasbihaate arba'ah ka tarjoma :
"khoda wand paak wa mobarra hai aur sab taarifen sirf allaah ke liae hain aur khoda ke aelaawah koei aebaadat ke laa'aeq nahi hai aur khoda bahot bada hai ( qaabile tausif nahi )
(15) tashah'hud padhne ke pahle ( اَلحمدُ لِلَّه ) "alhamdo lillaah" ya
( بِسم الله وَ بِالله وَالحَمدُ لِلَّه وَ خَیرُ الاَسمَاءِالله ) "bismillaahe wa billaahe wal hamdo lillaah wa khairul asmaa'eillaah" ( shoru karta hun khoda ke naam aur ous ki nusrat wa madad se jo parastish ke qaabil hai aur sab taarifen allaah ke liae hain aur behtarin naam ous se makhsus hain ) kahna(16) tashah'hud me salawaat ke baad ( وَتَقَبَّل شَفَاعَتَهُ وَارفَع دَرَجَتَه ) "wa taqabbal shafaa atahu warfa darajatahu" ( rasule akram صلى الله عليه و آله ki shafaa'at ko qabul farma aur aap ke maqaam wa daraja ko apne nazdik baland kar ) kahna
(17) qonut waajib nahi hai balke mustahabbe moak'kad ( taakid kiya gaya mustahab ) hai
qonut me koei bhi zikr kahen chaahe aek martaba ( سُبحَانَ الله ) "sub'haa nallah" ho kaafi hai
lekin behtar hai kahen :
لَااِلَهَ اِلَّاالله اَلحَلِيمُ الكَرِيم ، لَااِلَهَ اِلَّاالله اَلعَلِىُّ العَظِيم ، سُبحَانَ الله رَبِّ السَّمَوَاتِ السَّبعِ ، وَ رَبِّ الاَرَضِينَ السَّبعِ ، وَمَا فِيهِنَّ وَمَا بَينَهُنَّ ، وَ رَبِّ العَرشِ العَظِيم ، وَالحَمدُ لِلّه رَبِّ العَالَمِين
"laa aelaaha eil'lallaah, al halimul karim, laa aelaaha eil'lallaah al aliyul azim, sub'haanallaah rabbis samaawaatis sab'ae, wa rabbil arazinas sab'ae, wa maa fihinna wa maa bainahunna wa rabbil arshil azim, wal hamdo lillah rabbil aalamin"
( khoda ke sewa koei parastish ke qaabil nahi wo halim wa karim hai, khoda ke sewa koei aebaadat ke laa'aeq nahi wo baland aur azmat waala hai, khoda har qism ke aib aur naqs se paak wa mobarra hai saaton aasmaanon ka rab hai aur saaton zaminon ka parwar'degaar hai, aur jo chizen zaminon aur aasmaanon me hain aur oun ke darmeyaan ki hain ( oun ka bhi rab hai ) aur arshe azim ka maalik hai, aur sab taarifen allaah ke liae hain jo saari kaa'aenaat ka paalne waala hai )
roku aur sojud me salawaat ke baad ( وَالعَن اَعدَائَهُم ) "wal an aadaa'ahum" ( mohammad wa aale mohammad صلوات الله عليهم ke dushmanon par laanat kar ) kah sakte hain
aur qonut me bhi isi tarah kah sakte hain
aek doa ka zikr mokhtalif ketaabon me hai baaz olama ke nazdik wo doa azimush'shaan, rafioush shaan aur azimul martabah hai aur talabe haajat ke liae bhi bahot mojarrab hai
amirul momenin ali ( عليه السلام ) se mansub hai. aap ous ko namaaze shab aur dusri namaazon ke qonut me aur roz-o-shab padhte the
wo doa shia olama ke darmeyaan ( صَنَمَى قُرَيش ) "sanamaiy qoraish" ( qoraish ke 2 but ) se maaruf hai
ous ko doa aur monaajaat kaha jaata hai lekin dar haqiqat rasule khoda ke baad aap ke ahlebait ( صلوات الله عليهم ) par jo mazaalim huae oun ka aur talkh haadesaat wa waaqe'aat ka zikr hai aur dushmanon par laanat bhi ki gaei hai
doa tulaani hai lehaaza yahaan zikr karne se maazur hun
momenin wa momenaat tarjomah ke saath kam az kam aek martaba ous doa ko zarur padhen
mostahab zikr ke mota'alliq baaqi tafsil, doa, fiqh ki ketaabon aur tauzihul masaa'ael me dekhi jaa sakti hai
niche diae gae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
24 / ربيع الثانى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment