sawaal az : +9197094......
Salam arz aagha
Ek sawal ye h ke jo ladki apna Jabez saath laati h to uspe khums ke ahkaam kya hein aor khums shauhar ki taraf se ada hogi ya uske maeke ki taraf se ?
Pls jawab jald dijiyega aagha
jawaab :
باسمه تعالی
یاصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهagar ladki ko wo hadiyah me mila hai to ous ka khums ladki par hi waajib hai
lekin 2 suraton me khums waajib nahi hai :
1. jahez wa saamaan jis meqdaar me apne saath laaei hai otni meqdaar me na hona ladki ke liae kasre shaan hai
2. jahez wa saamaan istemaal me laaya jaae ga jaiyse mehmaano ki paziraaei ke liae, aiysi chizen jin ka ghar me hona zaruri hai to ous par is surat me khums waajib nahi hai ke waqte zarurat wa neyaaz oun ko faraaham karna ous ke liae aasaan na ho
( ba motaabia fatwa aayatullah sistaani )
Note :
khaaharaan wa beraadaraane geraami se baaraha guzaarish ki hai ke shar'ei sawaal karte waqt apne marja ka naam zarur bataa'aen, aek martaba phir guzaarish hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
19 / ربيع الثانى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment