Rishta tay hone ke baad ladka ladki gunaah se kaise bachen ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, December 15, 2020

Rishta tay hone ke baad ladka ladki gunaah se kaise bachen ?

Sawaal az : beraadare mohtaram


Janab mera ek masla hai, meri ek ladki se shadi tay aur shadi ka waqt 1 saal baad ka rakha gaya hai, lekin ham log ki baat hoti jiske baare me ladki k maa baap ko bhi pata hai, to kya is halaat me Islam ke mutabik koi raasta hai ki mai apni hone waali biwi se baat karu aur ham gunah se bhi bache rahe?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


aqd ke mota'alliq tauzihul masaa'ael me jin sharaa'aet ka zikr hai ous ke motaabiq aur ladki ke baap ki aejaazat se aap ke paas sirf 2 hi raaste hain :


  1. Daa'aemi nekaah :

  2. daa'aemi nekaah kar len lekin rokhsati aek saal baad ho


  3. Ghair daa'aemi aqd :


  4. is ko waqti shaadi aur aqde mut'ah bhi kahte hain


    aek saal ki muddat ke liae ye nekaah kar len aur aek saal baad daa'aemi nekaah kar ke rokhsati kar len ya kara len


niche di ga'ei headline par click kar ke jawaab ko molaaheza farma len



mazid maalumaat ke liae site ke "Menu" me "Shaadi" ka shoba molaaheza farma len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


29 / ربيع الثانى / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen