sawaal az : mohtarama janaab Fatima sb (Lucknow)
Me us ibadat ko janna chati hu jo Allah sabse zada pasand karta hai.
(Jo sirf Allah k lea ho)
Jis ibadat ka muqabala he ni
Allah ki nazar me sab se azeem ibadat hai
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكمkhoda wande aalam ke nazdik mahbub tarin wa bar-tarin aebaadat aur aamaal ke baare me rewaayaat mokhtalif hain. har hadis, aamaal wa aebaadat ke meyaar, aasaar, asaraat aur nataa'aej ke tanaasub se mahbub tarin wa bar-tarin aebaadat ko bayaan karti hai
misaal ke taur par af'zaaeishe rizq ke taanaasub se behtarin amal, barzakh ke tanaasub se behtarin amal, darajaate bahisht ke tanaasub se bartarin amal ...
is hawaale se darj zail baaz ahaadis pesh karte hain :
1. imaam saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :
"sab se afzal aebaadat khoda me aur ous ki qudrat ke baare me ghaur-o-fikr par hameshgi aekhteyaar karna ( modaawamat wa paabandi karna ) hai
allaah me tafakkur se moraad ous ke af'aal, sefaat, asma aur khilqat ke ajaa'aeb wa gharaa'aeb aur lataa'aef wa ghaiyrah ke baare me ghaur-o-khauz karna hai, khud ous ki zaat me nahi
2. imaam saadiq ( عليه السلام ) se sawaal kiya gaya :
حَىَّ عَلَى خَيرِ العَمَل
haiy'ya ala khaiyril amal
( behtarin amal ki taraf daudo = دوڑو / aao )
me behtarin amal kaunsa hai ?
to aap ne farmaaya :
behtarin amal ham ahlebait ki "welaayat" hai
oumar ne ye jumla wa kalema azaan se khatm kar diya taake log welaayate ahlebaite at'haar ( صلوات الله عليهم ) ki taraf maa'ael na hon
3. imaam saadiq ( عليه السلام ) se marwi hai :
"bela shubha har aebaadat se bar tar wa baala tar aebaadat hai aur ham ahlebait ki mohabbat sab se afzal wa bahot fazl waali aebaadat hai"
aebaadat ke masaadiq aur darajaat hain
4. rasule khoda ( صلى الله عليه وآله ) ne farmaaya :
"meri oummat ka sab se afzal aamaal intezaare faraj hai "
5. imaame baaqir ( عليه السلام ) ka irshaade geraami hai :
"sab se afzal wa fazl me badhi huei aebaadat pet aur sharm gaah ki eif'fat wa paak daamani ( paar'saaei ) hai
6. imaame saadiq ( عليه السلام ) se marwi hai :
"khodaae az'za wa jal ke nazdik aamaal me se sab se mahbub amal momin ko khush karna hai : ( kis tarah ous ko khush'haal karen ? ) ous ko ous ki bhuk se ser karne ( yaani bhuke momin ko khaane se ser karne ) ya ous se ranj-o-mashaq'qat ko zaa'ael wa dur karne ya ous ke qarz ko ada karne ke zariae se"
7. imaam baaqir ( عليه السلام ) se manqul hai :
"sab se mahbub aamaal khoda ke nazdik wo hai ke banda ous par modaawamat kare ( ous ki paabandi kare ) chaahe wo kam hi keyon na ho "
8. imaam saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :
" sab se afzal wa bar tar aamaal waqt par namaaz , waaledain ke saath neki our raahe khoda me jehaad hain "
9. rasule khoda ( صلى الله عليه وآله ) ka irshaade geraami hai :
"afzal aamaal wo hai jis me zahmat ( taklif ) zeyaadah ho"
jaiyse sardi me wozu, garmi me roza aur paa peyaadah hajj wa zeyaarat waghaiyrah
mazkurah baala mokhtalif rewaayaat me aap ne molaaheza farmaaya ke aamaal wa aebaadat ke meyaar, aasaar aur nataa'aej ... ke tanaasub wa baaham nisbat rakhne ke aetebaar se amal wa aebaadat allaah ke nazdik mahbub tarin aur sab se zeyaadah pasandidah hai
lehaaza "allaah sab se zeyaadah kis aebaadat wa amal ko pasand karta hai ..." is ke baare me waazeh wa yaqini taur par izhaare nazar karna intehaaei sakht wa dushwaar hai
albatta ba taure omumi wa maj'muei ye kaha jaa sakta hai ke apni zimmedaariyon ( ذمہ داریوں ) ki shanaakht, ous se waaqif rahna aur oun ko waqt par husne niyat wa kholuse niyat ke saath aur saliqa wa husne tadbir se anjaam dena sab se behtarin amal wa aebaadat hai
ghazwa'ae khandaq ke roz rasule khoda ( صلى الله عليه وآله ) ne farmaaya "ali ki aek zarbat tamaam jin wa ins ki aebaadat se afzal wa bartar hai"
aam taur par is aebaadat ke afzal hone ka sabab ikhlaas aur tauhidi eishq wa mohabbat bataaya jaata hai jab ke amirul momenin ali ( عليه السلام ) ki is aebaadat ke be shumaar aasaar, asaraat, barakaat aur nataa'aej ... hain is liae bhi ye aebaadat "saqalain = ثَقَلَين " ki aebaadat se afzal wa bartar hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔16 جمادى الاولى / 1442 ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment