Sawaal az : +91 97094.....
Salam arz aagha
Mera ek sawaal hai ke chori ki bijli ka istemaal ghar me koi karta hai to kya jaayez hai ? Pls bataiye
Aur isse wuzu waghairah me bhi istemaal kiya jaata hai
taqlid Ayatullah sistani sb ki
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
bijli chori karna aur chori ki bijli ka istemaal karna jaa'aez nahi hai. jis qadr bijli chori se istemaal ki hai ousi meqdaar me maqruz (debtor) hai ous ka bill ada kare albatta chori ki bijli se liae ga'ae paani se kiya gaya wozu ya ghusl ya ghusle maiy'yet ... sahih hai, baatil nahi hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
28 / ربيع الثانى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment