Saawaal az : mohtaram janaab Sadiq Raushan Ali Sb (South Africa / Congo)
Salaam.
Kya mustahab namaaze beth kar padh sakte hain, jeyse namaze ghofela, maghferat-e-walidayn ...agar koei bhi majburi na ho tab bhi?
Taqleed :- Sistani sb
Jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
mustahabbi namaazen (naafele) chaahe rozaana (rozo shab) ki 34 rak'aat (namaaze shab aur zohr, asr, maghrib, aesha aur subh ke naafele) hon ya chaahe rozaana ke aelaawah (jaiyse namaaze jaafare taiy'yaar, ghofaila aur wahshat ...) hon oun ko baith kar padh sakte hain, namaazi qeyaam par qaadir ho ya koei majburi na ho tab bhi
lekin behtar hai mustahabbi namaazon ko khade ho kar padhen khaah rozaana ki hon ya khaah oun ke aelaawah
albatta aesha ke naafelah (wotairah = وُتَيرَه) ko aehteyaate waajib ke taur par baith kar hi padhen
mustahabbi namaazon ko paidal (پیدل) chalne ki haalat me bhi padh sakte hai
isi tarah maujudah zamaana ki har qism ki chalti huei (khadi wa thahri nahi) sawaari (jaiyse cycle, motorcycle, bus, taxi, train, hawaaei jahaaz ya is ke maanind sawaari) par padh sakte hain
qadim zamaana ki har qism ki chalti huei sawaari (jaiyse ount, ghoda, khach'char waghaiyrah) par bhi padh sakte hain
in dono suraton (paidal chalte, chalti sawaari par padhne ki haalat) me jism ka thaharna wa qaraar pakadna (istiqraare badan) zaruri nahi hai
namaazi roku aur sajde sar ke aeshaare se kare, qibla rukh hona bhi zaruri wa shart nahi hai
zehan nashin rahe ke mustahabbi namaaz padhne me oun dono suraton (paidal chalne wa sawaari ke chalte huae) ke aelaawah benaabar aehteyaate waajib qibla ki taraf munh karne ki reaayat ki jaa'ae
Note :
- roze jum'aah zohr aur asr ki 16 rak'at naafela namaazon par 4 rak'at ka aezaafa ho jaata hai, majmu'an 20 rak'at ho jaati hai
- 2 rak'at naafela'ae aesha baith kar padhi jaati hai is liae aek rak'at maani jaati hai rozaana ke naafele is tarah 35 ke bajaae majmu'an 34 rak'aat hain
- aesha ke naafela ko " wotairah = وُتَيرَه" ( chhota watr) bhi kahte hain, is ki aek wajah ye hai ke namaaze shab ki namaaz me aakheri rak'at "watr" hai, manzelat aur sawaab ... ke aetebaar se ye namaaz misle namaaze watr hai
aur behtar ye hai ke puri 20 rak'at zawaal ke pahle padhi jaa'aen, sewaa'ae ous ki 2 rak'at ke, jis ke liae behtar hai ke waqte zawaal padhi jaa'ae
(is namaaz ka tariqah mafaatihul jenaan aamaale roze jum'ah baab 20 me hai)
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhar
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
18 / ربيع الثانى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment