Sawaal az : mohtarama janaab Saniya zahra sb
Na'mahram ke samne namaz padh sakte hain ya nahi
Mujhe batayiye aap ka bahot bahot Shukriya
Jazakallah
Taqleed aqaa shishtani
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
naa mahram ke saamne se moraad agar ye ho ke ghair mahram aap ko dekh raha hai ya dekh sakta hai to ji haan shar'ei parde ki re'aayat karte huae aur mokammal ous ke aehtemaam ke saath ous ke saamne namaaz padh sakti hain, namaaz ho jaa'ae gi yaani namaaz sahih hai
lekin behtar hai ke aiysi jagah namaaz padhen jahaan naa mahram ki negaah aap par na pade ya kam pade
behtar hai niche recommend kiae ga'ae jawaab ko molaaheza farma len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
17 / ربيع الثانى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment