Sawaal az : khaahare geraami
As salamo alaikum aagha sahab. Meri shaadi hue kuchh month hue hai aur mere husband marriage ke pehle se ek ghair muslim ladki ke affair me fase hue hain. Baat bahot badh gayi thi aur aur Mere husband mujhe chhorne ke liye bhi tayyar ho gaye the lekin ab bazahir wah ladki ja chuki hai lekin abhi bhi mere husband ke contact me hai.
Koi dua ya amal bataeye jis se mai apne husband ki life se us ladki ki mohabbat ko hata saku aur mere liye unke dil me jagah bana saku. Ap bhi mere haq me dua kariyega Mai apki bahot Shukr'guzar rahungi ...
Name aur mobile no zahir mat kriyega bhai
Aur iska jawab koshish lijiyega jald az jld mil ske
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
sab se pahle aap sharaa'aet aur osul ki re'aayat karte huae amr bil maaruf wa nahi az-munkar karen
yaani ach'chhi baaton ki talqin karen wa targhib dilaa'aen aur buri baaton aur is gunaah se rokne ki koshish karen
aur zarur is baare me kisi amin aur tajrebah kaar shakhs se baat aur mashwerah karen taake is mushkil ki bunyaadi wojuhaat aur ous ke hal ki raah maalum ho sake
miyaan biwi ke darmeyaan eishq-o-mohabbat aek nemate aelaahi hai agar dono aadaabe zindagi ki reaayat karen to ye aelaahi tohfa wa hadiyah paae'daar aur baaqi rahe ga
khud bini wa khud pasandi, be-adabi, be mohabbati, be wafaaei aur aek dusre ke hoquq wa jinsi khaaheshaat ki reaayat na karne se ye eishq-o-mohabbat khatm wa naabud ho jaati hai
aiysi surate haal me doa ... ka faa'aedah nahi hai agar doa ya zikr ... padhen to in omur ki reaayat zarur ki jaa'ae
rewaayaat ke motaabiq ach'chhe akhlaaq, tawaazo, afwo bakhshish (عفو و بخشش) aur deen daari se mohabbat haasil hoti hai
bahar kaif niche zikr kiae gae zikr, telaawat aur aamaal par modaawamat karna aur oun ko paabandi se padhna wa anjaam dena monaasib wa behtar hai انشاءالله naa oummid na hon
- surah yaaseen
- surah mojaadelah
- yaa wadud ( يُا وَدُود )
- khaane ke baad haathon ko dho'aen aur tauliyah waghaiyrah se khushk karne se pahle tar haath chehre aur aankhon par khainchen (کھینچیں) aur kahen :
- sar par lagaane ke liae jab tel haath me len to ye doa padhen :
اَللَّهُمَّ اِنِّى اَسئَلُکَ الزِّينَةَ وَالمَحَبَّةَ وَ اَعُوذُ بِكَ مِنَ المَقتِ وَالبِغضَةِ
"allaahumma inni as'alokaz zinata wal mahabbata wa a'ouzo beka menal maqte wal bighzate"
Tarjomah :
"khodaaya tujh se aaraastagi wa khubsurati aur mohabbat ki eilteja wa darkhaast karta hun (karti hun) aur teri panaah maangta hun (maangti hun) shadid bughz-o-nafrat aur kina wa dushmani rakhne waale se"
اَللَّهُمَّ اِنِّى اَسئَلُكَ الزَّينَ وَالزِّينَةَ وَالمَحَبَّةَ وَ اَعُوذُ بِكَ مِنَ الشَّينِ وَالشَّنآنِ وَالمَقتِ
"allaahumma inni as'alokaz zaina waz zinata wal mahabbata wa a'ouzo beka menash shaine wash shan'aane wal maqte"
phir sar ke agle hisse par tel rakhen aur Allah ka naam le kar lagaana shoru kar den
Tarjomah :
khodaaya tujh se aaraastagi wa khubsurati aur zinat aur mohabbat ki darkhaast wa eilteja karta hun (karti hun) aur buraaei wa dushmani rakhne waale aur nafrat se teri panaah maangta hun (maangti hun)
Note :
niche recommend ki gaei video dekhna aur jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
- Mushkil, takleef, qarz, gham-o-andoh se nejaat pane ka tariqa wa dua
- shaadiyon ke shauqin mard | aurat mahbub-e-khoda nahi
miya (husband) biwi (wife) me aekhtelaaf wa naachaaqi ho jaa'ae to keya karen ?
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
8 / ربيع الثاتى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment