sawaal az : beraadare mohtaram
As Salam O Alaikum Allama Sahab
agar kapde par peshab ki najasat lagi hai to kya use pehan kar nahane se kapda aur jism dono pak ho jata hai.
Agar peshab ke bad istebra kiye baghair agar peshab ke katre nahi rukte to kya ye koi beemari hai ?
Aayatullah Syed Ali Sistani Sahab
mera naam show na kijiyega
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
asl najaasat bar taraf wa zaa'ael karne ke baad paak karne ki 2 suraten wa tariqe hain :
1. nahaate waqt kapde aur badan par aabe qalil ( jayse lote ya jug ka paani ) daal rahe hain to 2 martaba paani daalen wa dho'aen aur har martaba paani daalne wa dhone ke baad lebaas ko dabaaen wa nichoden taake ous ka paani nikal jaae
2. agar aabe jaari ( jayise chashme ka jaari paani ) daal rahe hain to aek martaba daalna wa dhona kaafi hai ba sharte ke tamaam najis jaghon tak paani pahunch jaae
aur agar aiyse pipe se paani daal rahe hain jo kur se mut'tasil hai ( jaiyse hammaam waghairah ke pipe ka paani jo aam taur par aiyse water tank se mut'tasil hote hain jo kur hai ) ya baarish hote waqt baarish ka paani daal rahe hain to 2 martaba is tarah paani daalen wa dhoen ke tamaam najis jagah tak paani pahunch jaae
is surat me paani daalne wa dhone ke baad kapde ko dabaana wa nichodna zaruri nahi haipeshaab ke baad peshaab ke qatre aana bimaari hai ya nahi ? is ki tashkhis aap khud karen ya doctor se puchhen
ham ye bata sakte hain ke agar kasrat se aap ko qatraat aate hain to aap maazur hain, wozu, ghusl aur namaaz ... ke mota'alliq is ke alag aur makhsus ahkaam bayaan kiae gae hain
Note :
di gaei video dekhna mofid hai انشاءالله
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
24 / ربيع الاول / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment