Sawaal az : Mohtaram janaab Sye Abbas Naqvi sb / India (U.P)
Salamun Alaikum Agha!
Question- Arz hai.. Non Muslim ki Shop se samaan lena jayez hai?
Agar aise area mein rehte hai jahan pe koi Muslim ki Shop na ho toh kya Non Muslim ki Shop se samaan le sakte hai?
Kaunsi cheeze unse le sakte hai aur kaunsi nahi?
Aur unke haath ki bani hui cheeze khana kya haraam hai?
Moqallid Ayatollah Sistani Sahab
Jawab ka muntazir..
Ahsant!
Jazak'Allah!
Wassalam..!!
jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهagar shar'ei aetebaar se halaal hain to le sakte hain jaa'aez hai lekin agar haraam hain jaiyse sharaab ya aiyse aalaat jo aam taur par haraam kaam ke liae istemaal hote hain masalan qemaar ( juaa ) our but wa haraam mausiqi ke wasaa'ael wa aalaat our gumraah kun ketaaben ... to nahi le sakte hain haraam hai
dusre sawaal ka jawaab niche diae gae jawaab me molaaheza farma len
ghair muslim ke restaurant se khaane | pine ka hukm Click here
keya McDonald me khaana khaana jaa'aez hai ? | masihiyat me ketne firqe hain ? Click here
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
1 / ربيع الثانى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment