sawaal az : ........
Salamun Alykm. Mai Waseem, Patna se
Sawal: Kya bank mein FD/RD/Mutual fund mein invest ki gyi rakm pr khums dena hota h?
Marja: Ayatullah al Udhma Nasir Mikarim Shirazi
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهsarmaaya ( invest ) par khums hai lekin agar aiysa sarmaaya hai ke agar ous ka khums aekat'tha ( اکٹھا ) ya hatta thoda thoda ( تھوڑا تھوڑا ) karke ada karen to baqiyah raqam ( sarmaaya ) se aap ke shaayaane shaan aur aabru ki had tak zindagi nahi guzar sakti to is surat me khums nahi hai, isi bunyaad par ( isi wajah se ) agar sarmaaya par khums den to aap ke kaam me khasaara wa noqsaan nahi hoga to ous ka khums zarur den
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
12 / ربيع الثانى / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment