Faatema Zahra (s.a) ka matlab | Azhar university ka naam Faatema Zahra ke naam par - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, November 22, 2020

Faatema Zahra (s.a) ka matlab | Azhar university ka naam Faatema Zahra ke naam par

Sawaal az : mohtaram janaab Haseen Abbaas sb / lucknow


Salam


Kisi ne puchha hai. FATIMA ZAHRA ka tarjuma bata dijiye


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Faatemah :


ye lafz wa kalema (naam) Allaah ke naam "Faatir = فاطر" aur "Fatm فطم" se liya gaya hai


loghate arab me is ke mokhtalif maani hain oun me se baaz darj zail hain :


rokna, mana karna, kaatna wa juda karna, aag se juda karna aur chhodaana (چھڑانا)


arabi me jab kaha jaata hai "فَطَمَتِ الاُمُّ طِفلَهَا (fatamatil oum tiflahaa) ya وَلَدَهَا (waladaha)" to is ka matlab hai "maa ne apne (2 saalah) bach'che ka doodh (milk) chhodaa diya"
isi wajah se arab, "Faatema" ous aurat ko kahte hain jis ne 2 hi baras me bach'che ka doodh chhoda diya ho aur juda shudah wa mana ki huei ho


Zahra = زہراء :


is ke bhi mokhtalif maani hain oun me se baaz ; darakhshaan (درخشاں), raushan, chamkila aur chamakta chehra wa bahot khubsurat hai


"Faatema" Nabi'ae karim ki beti ka isme sharif aur "Zahra" (صلوات الله عليهم) aap ka laqab hai


dono ko milaa kar "Faatematuz zahra = فاطمة الزہراء" kahte hain


Faatema aur Zahra (سلام الله عليها) ki wajhe tasmiyah yaani naam rakhne ka sabab keya hai ?


Maasumin (صلوات الله عليهم) se manqul rewaayaat me is ki mokhtalif wojuhaat aur asbaab bataa'ae ga'ae hain :


masalan aap jahl (جہل) , palidi aur har tarah ki buraa'ei ... se dur wa juda hain is liae aap ko "Faatema" kaha gaya


aur baaghe nabuw'wat ki is kali ka chehra raushan tha aur ous se zabardast nur nikalta tha is liae "Zahra" kaha gaya


mazid maalumaat ke liae niche recommended "pdf" molaaheza farma len



Note :


misr me waaqe aalame islaam ki mash'hur university Azhar (jaame'a'ae azhar / جامعہ ازہر) ka naam Janaabe Faatema (سلام الله عليها) ke laqab "Zahra = زہراء" ki nisbat se rakha gaya


ye university shi'on (faatemi hukmoraano) ne banwaaei thi lekin afsos is waqt ous par aiysi taalimaat aur afkaar wa aqaa'aed ghaalib hain jis se yaqinan Hazrate Zahra (سلام الله عليها) khush nahi hain


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


6 / ربيع الثانى / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

2 comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen