sharaakat daari ke aek contract | naf ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, November 26, 2020

sharaakat daari ke aek contract | naf ka hukm

sawaal az : .......


Salamunaleykum


Ek sawaal hai lottri k bare mai

Hamne 24 mahine ki lottri me naam likhwaaya tha jisme hame 24 mahine baad 1 lakh 25000 rupy waapas milega aur ham har mahine usme 3000-4000 tak jama karen ge 24 mahine tak aur ham 24 mahine tak agar 4000 bhi jama karen ge to hamaara 24 mahine tak 96000 jama hoga matlab ham jab 24 mahine baad paise lenge to hame 29000 ka fayeda hoga. ham ya koi aur is lotri ko bich mai kabhi bhi utha sakte hai nuksaan ke sath 70000- 80000 rupy me aur agr 80000 me koi uthata hai to jaise ye lotri 125000 ki hai to usne 45000 ke nuksaan se uthai wo 45000 jo lotri me members hai un sabko mil jata hai

Mere hisaab se ye paisa haram hai aur mujhe iske bare mai pahle sahi se nahi pata tha aur ab mai is lotri ko band karna chaahta hu mere 36000 wapas lekar agar mai ye band kru to 36000 waapas nahi milega


1. Kya ye paisa haram hai

2. Aur agar haram hai to ham kya kre


mimbers shia wa sunni dono hain

tqlid : aayatulla sistaani


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

1. agar oun ke saath shar'ei qaraar daad wa moaahada ( معاہدہ ) = contract ( jaiyse sharaakat = hissah daari ya mozaarabah ya sulh waghaiyrah ) kiya hai ous ke baad aezaafi raqam wa paison ko ous moaahadah ke faaedah ke ounwaan se len to haraj nahi hai ye raqam halaal hai lekin agar is tarah na ho to yaqinan aezaafi raqam ( faaeda ) lena reba wa sud hai aur haraam


2. 24 maah ki muddat puri hone ke pahle kisi mimber ne apne paise waapas le liae aur jo paise ous se kaat kar baqiyah mimbers par taqsim kiae gae to oun paison ka bhi hukm wahi hai jo No 1 me bataaya gaya


yaani agar ye moaahadah wa ittefaaq ( agreement ) ousi shar'ei moaahadah ke zail wa zimn me ho ( yaani ous ke motaabiq ho ) aur aapas me ousi tarah ittefaaq kiya ho to haraj nahi hai mimbers ke liae wo raqam halaal hai


3. agar moaahadah shar'ei nahi hai yaani sharaakat waghaiyrah ke motaabiq nahi hai to aezaafi raqam haraam hai


jis se bhi aezaafi raqam wa paise liae hain ous ko wo raqam waapas kar den


agar saahebe raqam ke baare me nahi maalum hai ke wo kahaan hai ? yaani ous tak rasaaei momkin nahi hai to is surat me apne marja ke daftar ya oun ke motabar wakil ki aejaazat se ous ke haq yaani ous raqam ko faqir ke hawaale kar den ( albatta ba zaahir yahaan paison ka maalik maalum hai ous tak rasaaei momkin hai )


Note :


1. shar'ei moaahadah jaiyse sharaakat, mozaarabah aur sulh waghaiyrah ke ahkaam tafsili hain tauzihul masaa'ael me molaaheza farma len


2. ye sawaal kisi beraadar ne kiya tha oun ki khidmat me alag se jawaab bhejne se maazur hun is liae ke mobile ki kharaabi ki wajah se oun ka No waghaiyrah delete ho gaya ittefaaq se sirf sawaal mahfuz kar liya gaya tha



والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


10 / ربیع الثانی / 1442 ھ.ق


روز شہادت خواہر امام رضا دوسری فاطمہ حضرت فاطمہ معصومہ ( سلام الله عليهم )۔

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen