Sawaal az : mohtarama janaab Saniya Zahra sb
Ek question tha
Ahlebait bhi a.s aur unke nokar bhi a.s kyon hain ?
Win channel pe question tha
Hame bas ye puchhna hai ki salman farsi bhi a.s aur maula ali bhi a.s ye kaise jabki maula ali ki wajah se salmaan farsi hain
jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
سلام عليكمjawaab dene se pahle chand baaton ka jaanna zaruri hai, kuchh kalemaat wa jumle buzurg hastiyon ke mobaarak naamon ke saath bole wa likhe jaate hain, sawaal ke peshe nazar oun me se kuchh darj zail hain :
1. alayhis'salaam / salaamullaah alayh ( عَلَيه السَّلام / سَلَامُ الله عَلَيه )
(oun par salaamti ho / oun par allaah ka salaam ho )
ye aek shakhs aur mard ke liae istemaal hota hai ( istelaah me mufrad mozakkar kahte hain ) jaiyse hazrat ali alayhis'salaam / salaamullaah alayh
2. alayhas'salaam / salaamullaah alayha ( عَلَيهَا السَّلام / سَلامُ الله عَلَيها )
(oun par salaamti ho / oun par allaah ka salaam ho)
ye aek aurat / ladki ke liae istemaal hota hai ( istelaah me mufrad mowannas kahte hain ) jaiyse hazrat faatema ( alayhas'salaam / salaamullaah alayha )
3. alayhemas'salaam / salaamullaah alayhema ( عَلَيهِمَا السَّلام / سَلام الله عَلَيهِمَا )
( oun dono par salaamti ho / oun dono par allaah ka salaam ho )
ye 2 mard ke liae istemaal hota hai ( istelaah me tasniya mozakkar kahte hain ) jaiyse imaam hasan wa hussain ( alayhemas'salaam / salaamullaah alayhema )
4. alayhemus'salaam / salaamullaah alyhim ( عَلَيهِمُ السَّلام / سَلامُ الله عَلَيهِم )
( oun par salaamti ho / oun par allaah ka salaam ho )
ye chand mard ke liae istemaal hota hai ( istelaah me jama mozakkar kahte hain ) jaiyse maasumin ( alayhemus'salaam / salaamullaah alayhim )
mazkurah baala jumle wa kalemaat doaa'eiyah ( دعائیہ ) hain aur taazim-o-tauqir aur adab-o-aehteraam ke liae bhi istemaal hote hain
ye jumle wa kalemaat apne maani aur mafhum ke aetebaar se ghair maasum jaiyse janaabe salmaan waghaiyrah ke liae istemaal karna jaa'aez hai, koei haraj nahi hai
lekin chunke hamaare ourf me sadiyon se maamul wa raa'aej hai ke in jumlon wa kalemaat ka istemaal aam taur se maasumin ( عليهم السلام ) ke mobaarak naamon ke saath hota hai, maasumin ( سلام الله عليهم ) ki zaat ke saath khaas hain
ya aiysi hastiyon ke liae istemaal hote hain jo oun se zeyaadah moshaabahat ( مشابہت ) rakhti hain ya jis ki ismat maasumin ( عليهم السلام ) ki ismat ke moshaabeh hai jaiyse janaabe zainab janaabe khadija aur maasuma'ae qum ... aur janaabe abbaas, janaabe ali akbar waghaiyrah
lehaaza in hazaraat ki hurmat ka paas-o-lehaaz rakhte huae behtar hai ke ye kalemaat kisi aur ke liae bola wa likha na jaa'ae
Note :
1. loqmaane oummat janaabe salmaan maamuli insaan nahi the balke rasule akram ( صلى الله عليه وآله ) ke mash'hur wa behtarin sahaabi aur ali ( عليه السلام ) ke madad gaaron me se the, saqifa ke mokhaalif the
rasule khoda ( صلى الله عليه و آله ) ne aap ke baare me farmaaya :
"salmaan hamaare ahlebait se hain"
aap ko salmaane faarsi ke bajaae "salmaane mohammadi " kaha jaata hai
salmaan bhi salaamti wa taslim se liya gaya hai
2. niche diae gae jawaab ko padhna behtar hai انشاءالله
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
29 / ربيع الاول / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment