keya khoda ko "tu" kahna hadis se saabit hai | khoda ne apne liae jama ka segha keyaun istemaal kiya ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, November 14, 2020

keya khoda ko "tu" kahna hadis se saabit hai | khoda ne apne liae jama ka segha keyaun istemaal kiya ?

Sawaal az : mohtaram janaab Syed Arsalan Askari sb (gujarat)


Allama Saab....Allah Ko 'Tu' Kehkar Pukarna Kya Kisi Hadith Se Sabeet Hai


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم


jawaab dene ke liae sab se pahle ye bataana zaruri hai ke allaah ke liae kabhi zamir aur segha waahid ka istemaal hota hai to kabhi jama ka, jis ki kaei misaalen khud qur'aan hakim me hain


is ke mokhtalif asbaab aur wajhen hain masalan arabi loghat me jama ka segha sirf ta'addud ( taadaad me zeyaadah hone ) ke liae nahi balke azmat waali zaat ke liae istemaal hota hai yaani segha'ae jama taaziman wa adaban bola jaata hai


surah hijr aayat 9 me hai :


" be shak ham ne hi is qur'aan ko naazil kiya aur bela shubha ham hi is ki zarur hefaazat karne waale hain "


is aayat me " اِنَّا " = ein'na " aur " ُنَحن " = nahno " yaani ham aur "حَافِظُون = haafezun " ( ham hi hefaazat karne waale hain ) jama ka segha hai waahid wa yakta hone ke baa-wojud khoda ne apni azmat aur qudrat bataane ke liae khud apne liae jama ka segha ... istemaal kiya hai


aur kabhi anjaam shuda ya anjaam paane waale kaam ki azmat ko bataane ke liae wa bayaan karne ke liae apne liae jama ka segha istemaal kiya hai


jaiyse surah qadr aur kausar me hai :


" ham ne qur'aan ko shabe qadr me naazil kiya " " ham ne tumhen kausar ata kiya"


in aayaat me bhi " اِنَّا = ein'na " ka matlab " ham " hai


khoda ne apne liae waahid ka segha aur zamir bhi istemaal kiya hai jaiyse surah hamd me hai :


" ham teri hi aebaadat karte hain aur tujh hi se madad chaahte hain "


" ka = كَ yaani "tu" aur "tujh" waahid ki zamir hai


urdu mohaawara me adab ke taur par aur taaziman waahid aur aek shakhs ke liae bhi jama ka segha istemaal karte hain masalan "aap farmaate hain" ya tum keya padh rahe ho ...

khoda ne mokhtalif asbaab ki bena par apne liae jama ki zamir aur segha istemaal kiya hai lekin banda jama ka segha ya zamir khoda ke liae istemaal na kare masalan na kahe "aap mere rab hain ..." balke kahe "tu mera rab hai ..."


bande ke liae monaasib hai ke allaah ke liae waahid ki zamir ya segha istemaal kare


urdu aur faarsi me "tu" harfe khetaab hai jo aam taur par samaaj-o-moaashera me sab se chhote ko kahte hain aur kam darja waale ki nisbat bola jaata hai isi liae baaz log puchte hain, keya lafze "tu" ka istemaal allaah jaiysi zaat ke liae karna ous ke shaayaane shaan hai ?


is ka jawaab ye hai ke khoda ko "tu" kahne me koei momaana'at wa manaahi nahi hai

khodaa'ae ta'aala ko "tu" se hi khetaab karte hain aur aam taur par log allaah ko "tu" kah kar pukaarte hain khoda ko "tu" kah kar pukaarna be adabi wa be aehteraami nahi hai balke is se tauhid ki khushbu aati hai is liae ke "tu" waahid hai khoda bhi waahid aur ahad hai

dusre ye ke abd aur maabud ke darmeyaan nazdiki aur qurb ki alaamat wa neshaani bhi hai

do sach'che aur qaribi dost apnaaei'yat aur be takallofi se bhi aek dusre ko "tu" kahte hain aek aashiq apne maashuq wa mahbub ko "tu" kah kar khetaab karta hai aur pukaarta hai

bande ka haqiqi maashuq wa mahbub khoda hai aur khoda se behtar dost aur qaribi koei bhi nahi, ous ne khud kaha hai :


۔... نَحنُ اَقرَبُ اِلَيهِ مِن حَبلِ الوَرِيد


"...ham ous se ous ki rage galu wa jaan se bhi zeyaadah qarib hain "


( qaaf 16 )


jo is qadr nazdik hai ous ko "tu" hi kahna chaahiae is liae ke wo hamesha aur har waqt apne bande wa aashiq ke paas hai


arabi me "tu" ki jagah " َاَنت = anta kahte hain ye waahid mozakkar haazir ki zamir hai


khoda ko "tu" kahna aur tu kah kar pukaarna maasumin ( صلوات الله عليهم ) se marwi rewaayaat, ahaadis aur monaajaat se saabit hai


amirul momenin ali ( عليه السلام ) ki monaajaat ke 3 jumle molaaheza farma len :


اِلَهِى كَفَى بِی عِزّاً اَن اَكُونَ لَكَ عَبداً ، وَ كَفَى بِى فَخراً اَن تَكُونَ لِى رَبّاً ، اَنتَ كَمَا اُحِبُّ فَاجعَلنِى كَمَا تُحِبُّ

"ay mere khoda, meri eizzat ke liae yahi kaafi hai ke me tera banda rahun aur mere fakhr ke liae yahi kaafi hai ke tu mera rab rahe tu waiysa hi hai jaiysa me chaahta hun mujhe waiysa hi kar jaiysa tu khud chaahta hai "


( mafaatihul jenaan qabl az fazilat wa aamaale maahe rajab )


dusri manzum monaajaat me farmaaya :


الَِهى تَرَى حَالِى وَ فَقرِى وَ فَاقَتِى

وَ اَنتَ مُنَاجَاتِىِ الخَفِيَّةَ تَسمَعُ

" ay mere khoda tu meri ( buri ) haalat aur faqr-o-neyaaz wa parishaani ko dekhta hai "


" aur tu meri poshida monaajaat wa raaz-o-neyaaz ko sunta hai "


( mafaatihul jenaan qabl az fazilat wa aamaale maahe rajab )


mazkura baala monaajaat me khoda ko " َاَنت = anta " yaani "tu" se khetaab kiya hai lehaaza khoda ko "tu" kahna aur "tu" kah kar pukaarna maasumin ( صلوات الله عليهم ) ke aqwaal ... se saabit hai


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat - Qum / iran


27 / ربيع الاول / 1442ھ.ق

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen