sawaal az : +9180042.....
Salaamun alequm
Janab ek sawal tha kiya arbi ke haraf ko bina ba wazu hue chhuna haram hai
aur ispr sistani sahab aur Khamenei sahab ka kiya Farman hai thoda tafseer se bataayen
Wsalaam
Jawaab :
باسمه تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
Arabi ke horuf ko chhuna haraam nahi hai lekin qur'aan ki aebaarat, asmaa-e-jalaalah aur Maasumin (صلوات الله علیهم) ke naam ko beghair wozu chhuna haraam hai
Tafsili jawaab :
- qur'aan ki line (harf, kalema, aayat) ko beghair tahaarat (wozu, ghusl, tayam'mum) chhuna :
- asmaa-e-jalaalah yaani khoda ke naam :
- "باسمه تعالی = be ismehi ta'aala" yaa "الله = Allah" ki jagah, alif mas karna :
- 14 Maasumin (صلوات الله علیهم) ke naam :
- jin logon ke naam ke saath Allah laga hai :
- mobile ... me qur'aan mas karne ka hukm :
- mobile yaa computer waghairah me qur'aan majid ki ketaabat file ki surat (software) me hai (yaani mobile yaa computer memory me zakhira hai) to in ka hukm qur'aan majid waala nahi hai, ye qur'aan ki ketaabat nahi hoti balke ye nur aur lahren wa shoaa'aen hoti hain, lehaaza in ko beghair wozu chhu sakte hain
- qur'aan ki ketaabat ba'surate electronic, computer yaa mobile screen par khuli hai yaa ba'taure kulli glass monitors par zaahir hai to is surat me hukm ye hai :
Tamaam maraaje keraam ke nazdik :
beghair tahaarat, qur'aan ki line ko chhuna haraam hai, zaaheri aaza jaise haath yaa sina waghairah se yaa baateni aaza, jaise zabaan yaa daant waghairah se beghair tahaarat chhuna haraam hai
albatta qur'aan ka tarjuma kisi bhi zabaan me ho ous ko beghair wozu chhu sakte hain, lekin ism-e-jalaalah jaise Allah waghairah ka naam nahi chhu sakte hain
Aayatullah Sistaani :
khoda ke naam kisi bhi zabaan yaa kisi khaas kaifiyat wa haalat me likhe ga'ae hon benaabar aehteyaate waajib beghair wozu chhuna haraam hai
Rahbar-e-inqelaab :
kisi bhi zabaan yaa kisi khaas kaifiyat wa haalat me likhe ga'ae hon beghair wozu chhuna haraam hai
rasm hai ke "bismillah hir rahmaanir rahim" ki jagah "باسمه تعالی = be ismehi ta'aala" likhte hain yaa "الله = Allah" ki jagah ba'taure aeshaara alif likhte hain
dono maraaje ke nazdik , "be ismehi ta'aala" wa alif ko beghair wozu chhune me koei haraj nahi hai, jaa'aez hai (albatta behtar hai ke beghair wozu mas na karen)
Rahbar-e-inqelaab :
aehteyaate waajib ke taur par beghair wozu mas na karen
Aayatullah Sistaani :
behtar (aehteyaate mustahab) hai ke beghair wozu mas na karen
jin logon ke naam me Allah hai, jaise Abdullah, Habibullah, Aiynullah waghairah :
Rahbar-e-inqelaab :
is me lafze Allah ko beghair wozu chhuna jaa'aez nahi hai
Aayatullah Sistaani :
beghair wozu chhune me koei haraj nahi hai, albatta behtar hai ke beghair wozu mas na karen
iski 2 surat hai :
agar tauhin (be'aehteraami) ka aeraada wa qasd na ho to beghair wozu chhune me koei haraj nahi hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edaara-e- darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawaalaat Qum / Iran
19 / رجب / 1439 ھ.ق
Salaam
ReplyDeleteMai aapse ye puchna chahta hu ke maine abhi tak khums nahi nikala aur mai chahta hu ke khums nikalu pr mujhe jajmend nahi kitna bachata hai to aisi surat me kya karna hoga
Aur pahela khums me क्या kya chize Add karni hogi
Aapse guzarish hai ke site pe sawaal karne ke option ya contact form ya whatsapp pe karen
DeleteSite ke "menu" section me "sawaal karen" option me jaaen
Alaikum salaam wrwb
DeleteWhatsApp no. +91 9570927078