Sawaal az : Mohtaram Janaab Meer Zulfequar Ali Sb.
Salaamunalaik Agah,
Abbas ibne Abdul Mutallib se jo shajra chala inho ne 650 saal hukumat ki, inhi ki hukumat me Ahle Bait aur Shio par ziyada zulm hue. Barae karam is tafseel se roshni daale ya koi kitaab ka naam tajwis kare jo Abbasiyo ke zulm per roshni daale.
Wasslaam
Meer Zulfequar Ali
Allah apki duniya wa Akhirat bakhair kare
Jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
وعلى اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ
Taqriban 12 ya 13 sadiyon ke arse me khud saakhta aiysi hokumaten bar sare aeqtedaar aa'ein jinhon ne daawa kiya ke ham Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ke khalifa wa jaanashin hain balke is se bhi baala tar, baaz ne daawa kiya ke ham ruae zamin par Allaah ke khalifa hain
Wo sab jhute the oun me se koei bhi Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ka khalifa wa jaanashin nahi tha balke wo sab khud saakhta khalifa the
Aiysi hokumat wa molukiyat ki shoru'aat khelaafate taslis [(1 - 2 - 3) Abu Bakr, Omar / Umar, Usmaan] se huei, oun ke baad khelaafate Banu Omaiy'yah, phir khelaafate Bani Abbaas aur Banu Abbaas ke baad Kholafaa'ae Faatemi wa Ousmaani ka daur tha
Saltanate Bani Omaiy'yah khatm ho gaei to Bani Abbaas ka daur shoru huaa ye Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ke chacha aur mofassir Janaabe Abbaas ki nasl se the isi wajah se apni hokumat ka naam Khelaafate Abbaasi rakha
132 (hijri qamari) me pahla Abbaasi Khalifa "Abul Abbaas Saf'faah" bana aur aakheri khalifa "Musta'sim" tha jab Halaaku Khaan ne "Musta'sim" ko halaak wa qatl kar diya to ousi par Khelaafate Abbaasiya ka khaatema 656 (hijri qamari) me ho gaya, kholafaae bani abbaas taqriban 5 sadiyon se zeyaadah (524 saal) tak haakim rahe, maj'muan 37 abbaasi khalifa ne hokumat ki
Taqriban 524 barson (5 sadi se zeyaadah) ke dauraan 37 abbaasi khalifa ki aiy'yaashi'on, aiysho nosh aur oun ke jaraa'aem wa zulmo zeyaadti ko bayaan karne ke liae encyclopaedia (انسائیکلو پیڈیا) aur jaame wa mabsut ketaab ki zarurat hai, chand satron me oun ko bayaan karna naa momkin hai
Bahar kaif misaal ke taur par chand mazaalim ki taraf aeshaarah kiya jaa raha hai :
- Shion ka qatle aam
- Oun ko har tarah ki aziyat pahunchaana jaiyse maarna pitna, qaid karna, oun ke gharon ki takhrib ...
- Samaaji aur aeqtesaadi wa ma'aashi aetebaar se kamzor karna
- Shion ko molaazemat se mahrum wa maazul karna
Mansur jab boghdaad me aemaaraten banwa raha tha to shion ko sotun me rakh kar eint waghairah se band karwa deta tha
Motawakkil ke daur me to zulmo zeyaadti ki had ho gaei
aeqtesaadi lehaaz se shion ko aetna kamzor kar diya tha ke baaz shia auraton ke paas aiysa monaasib lebaas nahi tha jis ke saath namaaz padh saken, monaasib lebaas aek hi tha jis ko pahen kar baari baari namaaz padhti thin
naam war Sho'araa'ae Ahlebait (صلوات الله عليهم) ko shahid karwaaya
Ous ne aek aiysi fauj ba naame "Shaakeriyah" banaaei thi jis me mokhtalif jag'hon se sirf aiyse afraad ko bharti kiya gaya tha jo shi'on ke mokhaalif the aur oun se bughzo aenaad rakhte the, oun ka kaam chun chun kar shi'on ko maarna wa qatl karna tha
Khalifa Motawakkil ko Hazrat Amirul Momenin Ali aur Ahlebaite Taaherin (سلام الله عليهم) se shadid adaawat thi
Ousi khabis (لعنة الله عليه) ne Imaam Husain (عليه السلام) ke rauza wa qabre mobaarak ko mitaane ki koshish ki, hukm diya ke Imaam Husain aur Shohadaa'ae Karbala (سلام الله عليهم) ke mazaar hamwaar kar ke oun par zeraa'at ke liae paani chhod den ...
Mokhtasar ye ke is se bada jurm aur zulm, aur keya hoga ke abbaasiyon ne 6 Maasum Imaamon (صلوات الله عليهم) ko bahot sataaya aur shahid kiya, Abbaasi Khalifa 6 Imaamon ke qaatil hain
Banu Omaiy'yah aur Banu Abbaas ne keyon Imaamon ko shahid kiya ?
Is ka jawaab khud Imaam (عليه السلام) ki zabaani molaaheza farmaa len :
Imaam Hasan Askari (عليه السلام) ne farmaaya :
قَد وَضَعَ بَنُو اُمَيَّةَ وَ بَنُو العَبَّاسِ سُيُوفَهُم عَلَينَا لِعِلَّتَينِ ، اِحدَاهُمَا : اَنَّهُم كَانُوا يَعلَمُونَ اَنَّهُ لَيسَ لَهُم فِى الخِلافَةِ حَق ، فَيَخَافُونَ مِن اِدِّعَائِنَا اِيَّاهَا وَ تَستَقِرُّ فِى مَركَزِهَا ، وَ ثَانِيهِمَا : اَنَّهُم قَد وَقَفُوا مِنَ الاَخبَارِ المُتَوَاتِرَةِ عَلَى اَنَّ زَوَالَ مُلكِ الجَبَابِرَةِ وَ الظَّلَمَةِ عَلَى يَدِ القَائِمِ مِنَّا ، وَ كَانُوا لَا يَشُكُّونَ اَنَّهُم مِنَ الجَبَابِرَةِ وَالظَّلَمَةِ ، فَسَعَوا فِى قَتلِ اَهلِ بَيتِ رَسُولِ الله صلى الله عليه وآله وَ اِبَادَةِ نَسلِهِ ، طَمَعاََ مِنهُم فِى الوُصُولِ اِلَى مَنعِ تَوَلُّدِ القَائِمِ عَجَّلَ اللهُ فَرَجَهُ ، اَو قَتلِهِ فَاَبَى اللهُ اَن يَكشِفَ اَمرَهُ لِوَاحِدِِ مِنهُم ، اِلَّا اَن يُتِمَّ نُورَهُ وَ لَو كَرِهَ الكَافِرُونَ
Mafhum :
"Banu Omaiy'yah aur Bani Abbaas ne hamaare oupar do eillat wa sabab se talwaaren khaiynchi , aek ye hai ke : wo khud jaante the khelaafat oun ka haq nahi hai lehaaza darte the ke ham iddeaa'ae (ادعائے) khelaafat karen aur khelaafat apni asli wa haqiqi jagah qaraar pakad le, dusra sabab ye hai ke : wo motawaatir akhbaar se aagaah wa waaqif the ke jabbaar wa setamgar hokumaton ki naabudi hamaare qaa'aem ke haathon hogi aur oun ko is me bhi shak nahi tha ke ham khud jabbaar wa setamgaron me se hain isi wajah se, Ahlebaite Rasule Khoda (صلوات الله عليھم) ko qatl karne aur Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ki nasl khatm wa naabud karne ki koshish karte the aiysa is laalach wa aeraade se karte the ke qaa'aem (عجل الله فرجه) paiyda na ho saken ya oun ko qatl kar den lekin khoda ko ye baat naa manzur hai ke Banu Omaiy'yah aur Bani Abbaas me se hatta kisi aek fard ko bhi qaa'aem ke baare me kuchh maalum wa zaahir ho magar ye ke khoda apne nur ko kaamil kar ke rahe ga chaahe kaafiron ko ye baat ketni hi buri wa naa gawaar guzre"
(isbaatul hodaat - jild 3 - p 570 - h 685)
Fir'aun ne bhi hazaaron bach'chon ka qatle aam is liae karaaya ke Hazrate Musa na rahen
lekin jise Allaah rakhe ouse kaun chakhe (جسے اللہ رکھے اسے کون چکھے) is kahaawat ka zinda sobut Hazrate Musa aur Imaame Zamaana (عجل الله فرجه) hain
Banu Omaiy'yah aur Banu Abbaas ne shion ka bhi qatle aam is liae karaaya ke shion ne sab se pahle oun ke zulmo jaur aur khelaafat par ghaasebaana qabza ke khelaaf aawaaz baland ki
is waqt bhi shion aur muntazerine Imaame Asr (عجل الله تعالى فرجه الشريف) se dushmani, bughzo aenaad ... aur oun ko naabud karne ki naa kaam koshish ka aek mohim sabab yahi hai
نور خدا ہے کفر کی حرکت پہ خندہ زن
پھونکوں سے یہ چراغ بجھایا نہ جائے گا !
Nure khoda hai kufr ki harkat pe khanda zan
Phunkon se ye cheraagh bujhaaya na jaa'ae ga !
Ghalat fahmi ka aezaala :
- Abbaasi khalifa khud ko Imaamon (سلام الله عليهم) ka chachera bhaaei kahte the is ke sabab baaz logon ka tasaw'wur hai ke Kholafaa'ae Bani Abbaas shia the, ye bilkul ghalat hai oun me se baaz mota'assib sunni the jaiyse "Motawakkil" ous ne bataure rasmi aelaan kiya tha ke meri hokumat ka mazhab sunni hai
Abbaasi Khalifa agar sunni nahi the to oun ke naasebi hone me shak ki gunjaa'eish nahi hai - Shoru me arz kiya ke taqriban 12 ya 13 sadiyon ki muddat me aiysi hokumaten aaein jinhon ne daawa kiya ke ham Khalifa'ae Rasul hain, wo sab jhute the, Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ke jaanashin nahi the
balke emperor aur dictator the
Maamun ne apne shia hone ka daawa kiya tha, wo bhi jhuta tha
keya Maasum Imaam (عليهم السلام) ke jaani dushman wa qaatil ... Shia'ae Ali (عليه السلام) ho sakte hain ?
Taarikh apne aap ko dohraati hai is waqt bhi khelaafat ka daawa karne waalon jaiyse daa'eish, sepaahe sahaaba ... aur turki ki maujuda hokumat ... ki haalat aur rawish wahi hai jo Abu Bakr, Umar, Usmaan ki khelaafat aur Khelaafate Banu Omaiy'yah, Banu Abbaas aur Khelaafate Ousmaani ki thi
Abu Sufyaan ki naa jaa'aez aulaad waiysi hi khelaafat ko dobaara zinda karna chaahti hain
Shia hazaraat ko chahiae ke in ka moqaabala karne ke liae har aetebaar se khud ko mazbut banaa'aen aur aamaada karen
lach'chhe (لچھے) daar taqriron se khush na rahen
Ketaabon ka ta'aaruf :
Tamaam tafsilaat aap ko aek hi ketaab me nahi milen gi lehaaza motaala'aa ke liae chand ketaabon ki neshaan dehi ki jaa rahi hai :
- taarikhe khelaafate abbaasi az aaghaaz taa paayaane aale buyah taalif doctor seyyed ahmad reza khezri
- saazmaane wakaalate imaamiya wa saazmaane daawate abbaasiyaan ... taalif mohammad kaazim malbubi
- tatim'matul muntaha fi taarikhil kholafa " taalif shaikh abbaas qumi (saahebe mafaatihul jenaan)
- taarikhud daulatul abbaasiyah taalif mohammad sohail taqqush
ye ketaab dar waaqe aap ki 2 jildi ketaab "Muntahal aamaal " ki tisri jild hai
is ketaab ka faarsi zabaan me tarjoma ba naame "Tatim'matul muntaha dar taarikhe kholafa" hai
ye labnaani aur ta'assobi sunni mowarrikh hain, Abbaasi Khalifa Ahlebait (صلوات الله عليهم) ke dushman the is liae is ketaab me shion ko naa haq aur Abbaasiyon ko ach'chha saabit karne ki koshish ki hai aur oun ke jaraa'aem wa zulmo zeyaadti se chashm poshi karte huae Abbaasiyon ki khub taarif ki hai ...
lehaaza mera mashwera ye hai ke is ketaab ka faarsi zabaan me tarjoma ba naame "Daulate Abbaasiyaan" padhen, Motarjim Hujjatullaah Judaki tarjoma se mulhaq Hujjatul Islaam Rasul Jaafariyaan Sb ki tahrir bhi hai jis me aekhtesaar ke saath Mohammad Sohail ka jawaab diya gaya hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
24 / صفر / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment