Sawaal az : mohtaram janaab Zain Ali sb (UP)
Asslamualikum
Bhaijaan main sunni hu
Bhaijaan mujhe pata chala hai ke karbala ki mitti me sifha hai
Mene apne dost se bola ke aap mujhe karbala ki mitti la do to usne mujhe aaj laa kar di hai
Mai boxing karta hu bhai to aap mujhe bata sakte ho kya ke mai bhi mitti apne saath kese rakh sakta hu ya kese uska use kar sakta hu
Jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين وعلى على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
عليكم السلام
koei baat nahi sunni bhi hamaare bhaaei hain
is me koei shak nahi ke sunni bhaaeion ki motabar ketaabon me khaake karbala ki ahamiyat ... ke baare me bahot kuchh bataaya gaya hai
aur is baat ka bhi zikr hai ke sar zamine karbala ki mitti Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ne oummul momenin Janaabe Oumme Salama ko Imaam Husain (عليه السلام) ki shahaadat ke pahle hi di thi ...
aur sunni bhaaeion ke bahot saare olama ne aeteraaf kiya hai ke mujhe karbala ki mitti se shefa mili hai, olama ke aelaawah ous ki barkat se bahot se logon ko bhi shefa mili hai
shia ketaabon me bahot saari ahaadis aur rewaayaat maujud hain jin ke motaabiq khoda ne khaake karbala ko har khauf se amaan ka sabab aur shefa qaraar diya hai
is me ta'ajjub ki koei baat nahi hai
khoda ne mokhtalif chizon ko baa'aese shefa qaraar diya hai
misaal ke taur par shahad me logon ke liae shefa hai (nahl 69) hazrate yusuf ka kurta pedar ke liae shefa ka sabab bana (yusuf 96) qur'aan hakim momenin ke liae shefa hai (isra 82 / fus'selat 44) aabe zam-zam waghairah me bhi shefa hai
sar zamine karbala par Imaam Husain aur aap ke as'haab (سلام الله علیهم) ka paak wa moqaddas khun bahaaya gaya, is liae khoda wande aalam ne is khaak ko bhi shefa qaraar diya hai
Istemaal karne ka tariqa aur aadaab :
- agar aap ko yaqin wa itminaan hai ke karbala ki mitti Imaam Husain (عليه السلام) ki khud moqaddas qabr ya ous ke atraaf se li gaei hai to darmeyaani aek chane ke baraabar shefa ke liae khaa sakte hain,
agar khud qabr ya ous ke atraaf ki nahi hai lekin karbala hi ki khaak hai to paani me mokhtasar khaak ghol kar pi len ya mariz ko pila den - khaate ya khilaane (ya pite ya pilaane) ke waqt ye doa padhen :
بِسمِ اللهِ وَ بِاللهِ اَللَّهُمَّ اجعَلهُ رِزقاََ وَاسِعاََ وَ عِلماََ نَافِعاََ وَ شِفَاءََ مِن كُلِّ دَاءِِ اِنَّكَ عَلَى كُلِّ شَئیِِ قَدِير
bismillaahe wa billaahe allaahum'maj alho rizqan waaseaa wa eilman naafeaa wa shefaa'an min kulle daaein innaka ala kulle shaiy'ein qadir
"khoda ke naam aur khoda ki madad se ay khoda ous ko koshaadah wa faraakh rizq aur faa'aeda outhaane waala (mofid) eilm aur har bimaari se shefa qaraar de, beshak tu har chiz par saahebe qudrat hai"
(kaameluz zeyaaraat p 476 baab 94)
apne saath rakhne ki bahot zeyaadah taasir aur fawaa'aed hain, masalan baa'aese sawaab hai, khatron aur balaaon se mahfuz rakhti hai aur shayaatin se hefaazat karti hai ...
agar apne saath rakhen to aiysi jagah rakhen ke be'aehteraami na ho
Niche recommend ki ga'ei video dekhna mofid hai انشاءالله
khaake shefa se moraad | hodud | hukm | fazilat | aadaabe istefaadah | faa'aede
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
14 / صفر / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment