sawaal az : Mohtaram Janab Zulqharnain sb / (MYSORE)
As Salamo Alaikum aagha shb Questions
Name the person and the woman who requested Imam Hasan Askari a.s to stamp his Imamat seal on stone?
~ Us shaks aur khatoon ka naam batao, jinhone Imam Hasan Askari a.s se darkhast ki Muhar e Imamat, pathar par lagaye?
jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
وعلى اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
oumme ghaanim yamaaniyah ۔( اُمِّ غَانِم يَمَانِيَّة )۔
ya inka beta mehja bin salt bin ouqbah bin sim'aan bin ghaanim
۔(مِهجَع بنُ الصَّلت بنِ عُقبَة بنِ سِمعَان بنِ غَانِم)۔
is waaqe'ah ka mokhtasar zikr wa bayaan :
kankariyon ( کنکریوں ) par mohre imaamat naqsh karne waale waaqe'ah ka zikr mokhtalif ketaabon me hai bahot saare mohaddesin , mowarrekhin aur olama ne apni ketaabon me is waaqe'ah ko bayaan kiya hai
waaqe'ah kuch is tarah hai ke abu haashim jaafari ne bayaan farmaaya ke aek din imaam hasan askari ( عليه السلام ) ki khidmat me baithe the , yaman se aek khubsurat aur lambe qad ka shakhs aaya aur imaam ( عليه السلام ) ko salaam kiya , hazrat ne jawaab de kar farmaaya baith jaao phir wo mere paas baith gaya mere zehn me ye baat aaei ke ay kaash me jaan leta ke ye kaun hai ? jaiyse hi ye baat mere zehn me aaei imaam hasan askari ( عليه السلام ) ne farmaaya ay abu haashim ye ous saahebe kankari aaraabiyah ( اعرابية ) ourat ( oumme ghaanim yamaaniyah ) ka farzand hai jo mere aabaao ajdaad ( آباؤاجداد ) ke paas kankariyaan laati thi aur mere aabaao ajdaad ous par mohre imaamat naqsh kar dete the
phir imaam ( عليه السلام ) ne ous se farmaaya jo kankariyaan laae ho ous ko do , ous ne kuchh kankariyaan nikaal kar imaam hasan askari ( عليه السلام ) ki khidmat me rakh din. imaam ( عليه السلام ) ne apne aabaao ajdaad ki tarah anguthi par kanda apni mohre imaamat ous kankari par naqsh kar diya ...
me ne aane waale shakhs se pucha tumhaara naam keya hai ? to ous ne kaha "mehja bin salt bin ouqbah bin sim'aan bin ghaanim ibne oumme ghaanim
۔( مِهجَع بنُ الصَّلت بنِ عُقبَة بنِ سِمعَان بنِ غَانِم اِبنِ اُمِّ غَانِم )۔
1. manaaqebe aale abi taalib jild 4 p 441 taalif abi jaafar mohammad bin ali bin shahr aashub matbuaah daarul azwa
2. rayaa'hinush shariah jild 3 p 422 taalif zabihullah mahallaati
rewaayaat ke motaabiq 3 aurten " saahebaane hasaat " ( saahebaane kankari ) hain oun ka laqab " saahebatul hasaat = صاحبة الحصاة hai isi se mash'hur bhi hain
saahebatul hasaat naam rakhne ka sabab ye hai ke oun azim aur baa fazilat khaawaatin ne kankarion par mohre imaamat naqsh karwaaya aur ous mojeze wa karaamat ko dusron se bayaan kiya , dar haqiqat imaame waqt ki tabligh karti thin
is liae ke jis imaam ki aetaa'at waajib wa zaruri hai ous ke imaam hone ki aek neshaani wa alaamat aur dalil yahi hai yaani kankariyon par mohre imaamat naqsh karna
oun 3 khawaatin ke naam bhi molaaheza farma len :
1. oumme ghaanim yamaaniyah
(aap ka zikr oupar kiya gaya hai )
2. oumme salim
inhone sirf rasule khoda aur amirul momenin ali ( صلوات الله عليهما ) ki mohre nabu'wat aur imaamat ko naqsh karwaaya
3. habbaabah dokhtare jaafar waalebiyah asadi al maaruf ba oummun nada
۔(حَبَّابَة دختر جعفر والبيه اسدى المعروف بہ اُم النَّدى )۔
aap ne bahot tulaani oumr paaei , rasule khoda ke zamaane se imaam reza ( صلوات الله عليهما ) ke daur tak zindah rahin
taqriban 235 saal ki thin , imaamon ( صلوات الله عليهم ) ke zariae aap ko bimaariyon se shefa milti rahi aur jawaani laut'ti rahi
tulaani oumr paane ka aek mohim sabab shaayad ye ho ke ye imaam shanaas khaatun apni azim zimmedaari ko anjaam deti rahen
yaani kankariyon par mohre imaamat ke naqsh ki hekaayat karti rahen
jaiysa ke arz kiya ye imaamat ki aek neshaani wa alaamat hai
apni zimmedaari ko anjaam dene ke liae aek din imaam reza ( عليه السلام ) ki khidmat me aaein imaam ( عليه السلام ) ne kankari par apni mohre imaamat naqsh kar ke farmaaya safare aakherat ke liae aamaadah ho jaao
is ke baad aap 9 maah zindah rahin phir inteqaal farmaaya , imaam ( عليه السلام ) ne aap ki namaaze janaaza padhaaei aur kafan me apna mobaarak kurta diya aur tash'ei me bhi sharik rahe...والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shiba-e-sawaalaat Qum / iran
8 / ربيع الاول / 1442ھ.ق
روز شہادت امام حسن عسکری ( عليه السلام )۔
No comments:
Comment