Sawaal az : mohtarama janaab saiyedah naaziya sb / ahmedabad
Kya shaam ke bazar me beparda bibiyo ko dekh kar Imaam Sajjad ne kabhi ye kaha tha ki kaash mai mar gaya hota ye sab dekhne se pehle ya phir kaash mai paiyda hi na hua hota ye sab dekhne ke liye ?
Jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
سلام عليكم
Imaam Sajjaad (عليه السلام) se mansub sher kuchh farq ke saath is tarah hai :
اُقَادُ ذَلِيلاََ فِى دِمَشق كَاَنَّنِى
مِنَ الزَّنجِ عَبد غَابَ عَنهُ نَصِيرُه
وَ جَدِّى رَسُولُ الله فِى كُلِّ مَشهَد
وَ شَيخِى اَميرُ المُؤمِنِين وَزِيرُه
فَيَالَيتَ اُمِّى لَم تَلِدنِى وَ لَم اَكُن
يَرَانِى یَزِیدُ فِى البِلَادِ اَسيرُه
Mafhum :
"mujhe zil'lato khaari ke saath demishq me goya aiyse habashi gholaam ki tarah le ga'ae jis ka koei madad'gaar wa hemaayati na ho
aur mere jad Rasule khoda har jagah hain aur mere buzurg Amirul Momenin oun ke wazir hain
ay kaash meri maa mujhe na janti (paida na karti)
aur Yazid mujhe shahron me apna asir na dekhta"
in ash'aar ka zikr mota'addid ketaabon me hai yahaan sirf do ketaabon ke hawaale pesh karne par aektefa karta hun :
- shajarato tuba jild 2 p 277 taalif shaikh mohammad mahdi haa'aeri
- madinatul ma'aajiz jild 2 p 352 taalif say'yid haashim bahraani
ye baat malhuz khaatir rahe ke "madinatul ma'aajiz aur baaz dusri ketaabon wa nuskho me tisre bait
"فيا ليت امى لم تلدنى و لم اكن"
"ay kaash meri maa mujhe na janti" ki jagah ye bait hai :
"فَيَالَيتَ لَم اَنظُر دِمَشق وَ لَم اَكُن"
yaani ay kaash demishq ko na dekha hota (is shahr me daakhil na huaa hota) aur Yazid mujhe shahron me apna asir na dekhta
"ay kaash meri maa mujhe na janti" ka tazkerah nahi hai
dusre ye ke taarikh, hadis aur maqtal ke maraaje wa masaadir aur qadimi ketaabon me Imaam Zainul Aabedeen (عليه السلام) se mansub ye sher naql nahi huaa hai ya mujhe nahi mila
agar farz kar liya jaa'ae ke Imaam Sajjaad (عليه السلام) ne aiysa farmaaya hai to ye khoda ya ous ki mashi'yat par aeteraaz nahi hai, ya sabr ka daaman haath se chhodna nahi hai
balke shaam ke haadesaat, waaqe'aat aur dhaa'ae ga'ae masaa'aeb ki taraf aeshaara wa kenaaya hai
dar haqiqat aap bata rahe hain ke shaam ke masaa'aeb mere liae bahot sakht the, bahot badi mosibat thi, ay kaash oun mosibaton ko na dekha hota ...
baa alfaaze digar :
haqiqi aur lafz ke maani yaani "ay kaash meri maa mujhe na janti" moraad nahi balke is se moraad kenaaya wa aeshaara ke maani hain yaani shaam ki mosibate ouzma. zeyaarate aashurah me bhi ous mosibat ki taraf aeshaara kiya gaya hai
Misaal :
Zaid kasirur'ramaad = كثير الرماد hai yaani ous ke chool'he me bahot zeyaadah raakh hai
ye ous ki sakhaawat ki taraf aeshaara hai ke ous ke yahaan gharibon ke liae bahot zeyaadah khaana pakta hai
agar chool'ha na ho raakh na ho tab bhi sakhi ko kasirur'ramaad kahte hain
mokhtasar ye ke laazim bol kar malzum moraad liya gaya hai
urdu me bhi aiysa hi hai masalan darya ke bahne se moraad paani ka bahaao (بہاؤ) hai
ya "khune jegar pina" is se moraad lafz ke maani nahi hain balke sakht mosibat outhaane ki taraf aeshaara wa kenaaya hai
rewaayaat aur ahaadis me bhi ham ko aiyse namune bahot milte hain, misaal ke taur par sirf 2 maqaam ki neshaan dehi ki jaa rahi hai :
- jab Surah Hijr ki aayat 43 "oun sab ka waada gaah jahannam hai" aur 44 "jis ke 7 darwaaze hain har darwaaze ke liae oun ka aek hissa makhsus kar diya gaya hai" naazil huei to Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ne bahot zeyaadah girya kiya ... aur Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ne farmaaya :
- monaajaatul khaa'ae'feen me Imaam Zainul Aabedeen (عليه السلام) ne farmaaya :
يَالَيْتَنِي لَمْ تَلِدْنِي اُمِّي ... وَ لَمْ اَسْمَعْ بِذِكْرِ النَّار
"ay kaash meri maa mujhe na janti aur jahannam ka zikr na sunta"
("ad doru'oul waaqeyah" p 275 wa 276 taalif syed ibne taaous)
ye jahannam ke sakht wa shadid azaab ki taraf aeshaara wa kenaaya hai, lafz ke maani moraad nahi hain
... فَلَيتَهَا لَم تَلِدنِى ...
"... ay kaash meri maa mujhe na janti ..."
(mafaatihul jenaan )
ye bhi azaabe jahannam se khauf ki taraf aeshaara wa kenaaya hai
mokhtasar ye ke agar insaan ach'chha ho tab bhi khaufo raja ki haalat me rahe, aek momin banda ki ye behtarin haalat hai
کاش کے نہ دنیا میں پیدا میں ہوا ہوتا
قبر و حشر کا ہر غم ختم ہو گیا ہوتا
آہ ! سلب ایماں کا خوف کھائے جاتا ہے
کاش کے میری ماں نے ہی نہیں جنا ہوتا
kaash ke na dunya me paida me huaa hota
qabr-o-hashr ka har gham khatm ho gaya hota
aah ! salbe eimaan ka khauf khaae jaata hai
kaash ke meri maa ne hi nahi jana hota
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔19 / صفر / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment