Sawaal az : mohtaram janaab Mohib Ali Zaidi sb / pakistan
Imaam Hussain a.s ka sar Mubarak kahan dafn hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
وعلى اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
سلام عليكم
Imaam Hussain (عليه السلام) ke sare aqdas ke madfan ke baare me aekhtelaaf hai is ta'alluq se mota'addid aqwaal aur tafsilaat hain oun tafsilaat ko nazar andaaz karte huae kuchh aqwaal ka tazkera kiya jaa raha hai :
- Demishq (shaam) :
- Qaaherah (misr)
- Asqalaan :
- Afghaanistaan
- Kufah
- Madina :
- Najafe ashraf Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ke nazdik wa kenaare dafn hai
- Karbala :
Demishq me kahaan dafn huaa ? khud is hawaale se bhi aekhtelaaf hai
baaz ne likha hai "Baabul faraadees = باب الفَرادِيس" ke paas dafn hai isi liae ous maqaam par "Masjedur'raas" bhi banaaei gaei
aur baaz ne likha hai Amawi masjid ke paas ya Daarul aemaarah ya musalmaanon ke qabristaan me dafn kiya gaya
ye shaam aur misr ke darmeyaan waaqe hai, apni khubsurati ki wajah se "Aruse shaam" se maaruf tha aur sar zamine Philistine ka hissa tha
lekin sahyuni hokumat ne ous par qabza kar ke naam bhi tabdil kar diya, is waqt eibri zabaan me "Asqalaan = عَسقَلان" ko "Ashkelon" kaha jaata hai, ab ye Israaeil ka hissa wa rehaa'aeshi aelaaqa hai
pahle is maqaam par zabardast zeyaarat gaah wa haram ba naame " Mash'had Nabi Hussain = مشهد نبى حسين" ya "Masjid Mash'hadul Hussain = مسجد مشهد الحسين" taamir huei thi, zeyaarat ke liae shia wa sunni donon jaate the
lekin jab Israaeil ki naa jaa'aez reyaasat ka qeyaam 1948 (eisawi) me amal me aaya to ous ke 2 saal baad 1950 me Israaeil ke wazire jang "Moshe Dayan" ke hukm par takhrib kar diya gaya
baad me bohron ke imaam ne ous maqaam par Hindustaani sang-mar-mar se chhoti wa maamuli zeyaarat gaah banwaaei is waqt ous ke paas bahot bada hospital ba naame "Barzilai" bhi hai
Madine me kis maqaam par dafn hai ? is ke baare me bhi aekhtelaaf hai baaz ne likha hai Baqi me aur baaz ne likha hai aap ki maadare geraami ki qabr ya bhaaei Hasan (صلوات الله عليهم) ke pahlu me dafn kar diya gaya
jab asiraane karbala ki rehaaei huei to Imaam Sajjaad (عليه السلام) apne hamraah sare anwar laa'ae aur karbala me aa kar 20 safar roze arbaein sare aqdas ko jasade mobaarak se mila kar ya qabr ke pahlu me dafn kiya
is wajah se (yaani Imaam ka sar roze arbaein dafn huaa) zeyaarate arbaein ki taakid wa sefaarish bahot zeyaadah ki gaei hai
shia olama ke darmeyaan yahi qaul mash'hur hai, motabar aur sahih rewaayaat se isi qaul ki taaeid hoti hai
taarikhi qaraa'aen aur shawaahid se bhi yahi saabit hai
dusre ye ke jis qaul me likha hai ke maa ki qabr ke pahlu me dafn kiya gaya ya Imaam ka sar kisi aur ne dafn kiya, ye hargiz qaabile qabul nahi hai is liae ke aam insaan se Janaabe Zahra (سلام الله عليها) ki qabr makhfi hai kisi ko nahi maalum hai ke kahaan hai ?
aur shia mazhab ke osul me se hai ke Imaam (maasum) ko ghusl, kafan dena aur tadfin Imaam (maasum) hi ke zariae amal me aa'ae gi
lehaaza ye qatei wa yaqini hai ke Imaam Aali Maqaam Hussain (عليه السلام) ka sare anwar karbala me hi Imaam Sajjaad (عليه السلام) ke tawassut se dafn huaa
saahebe ma'aaleyus sibtain ne khud hi sawaal outhaaya ke Imaam (عليه السلام) ka sar aur jasad kahaan hai ? phir khud hi is ka jawaab diya ke dilon, zamiron aur zehnon ... me hai
Baaz tafsilaat ke liae hawaala :
- ma'aaleyus'sibtain ... jild 2 p 112 - al faslul khaamis ashar - al majlesul awwal - taalif al'aalemul aamil wal mohaddesul kaamil shaikh mohammad mahdi maazandaraani
- zindagaani imaam husain (علیه السلام) p 773 - 780 taalif aemaadud'din husain isfahaani
وَلَا تَحسَبَنَّ اللهَ غَافِلاََ عَمَّا يَعمَلُ الظَّالِمُون ...۔
"aur zaalim jo kuchh kar rahe hain ous se allaah ko ghaafil tasaw'wur na karen ..."
(ibraahim 42)
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
17 / صفر / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment