Sawaal az : Mohtaram Janaab Wajid Ali Sb (Chhattisgarh)
As Salamo Alaikum aagha shb
Imaam Hasan (ع) ko zehar kisne diya aur kiske kahne par diya aur mola ke janaaze par teer kisne chalwaaya aur kin kin logo ne teer chalaaya is silsile se ahle sunnat aur shio ki book se reference ke saath wazaahat Farmaye
Jazak Allah Shukriya
Jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
وعلى اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Mo'aawiyah ke bahkaane wa eighwa se aap ki biwi "Jaadah = جَعده" dokhtare Ash'as (لعنة الله عليهم) ne Hazrat ko zahr diya jis se aap shahid huae, Mo'aawiyah ne is kaam ke liae "Jaadah" ko aek laakh dirham aur apne bete Yazid se shaadi karne ki laalach di thi
Shia ketaab :
- manaaqebe aale abi taalib - jild 4 - p 42 - fasl fi wafaatehi wa zeyaaratehi taalif abi jaafar mohammad bin ali bin shahr aashub
- muntahal aamaal - jild 1 - p 317 - fasl 4 - shahaadate imaam hasan (عليه السلام) taalif seqatul mohaddesin shaikh abbaas qumi (saahebe mafaatihul jenaan)
Sunni ketaab :
- sharho nahjil balaagha le ibne abil hadid - jild 16 - p 29 - matbuaah daar aehya at toraasul arabi
- tazkeratul khawaas ... - p 191 wa 192 - taalif sibte ibne jauzi
Imaam Hasan (عليه السلام) ka asli qaatil Mo'aawiyah Ibne Abi Sufyaan (لعنةالله عليهم) hai is ta'alluq se sunniyon ki taarikh aur hadis ki ketaabon me is qadr mataalib likhe hain ke ye aek naa qaabile inkaar haqiqat hai
Dafn ke ta'alluq se :
Imaam Hasan (عليه السلام) ne wasiyat ki thi ke mujhe Hazrat Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ke paas dafn karna ... Imaam Husain (عليه السلام) naashe mobaarak ko Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ke paas dafn karne laa'ae magar Banu Omaiy'yah wa gerohe Ousmaani Marwaan waghaiyrah maane huae, Aa'aesha aek khach'char par sawaar ho kar aa'ein aur kaha ghar mera hai me dafn nahi hone deti hargiz me aejaazat nahi dungi ke in tinon (Rasul aur shaiy'khain) ke paas koei chautha dafn ho ...
Ous mauqe par Janaabe Ibne Abbaas aur baaz logon ne jo kaha ous ka mafhum kuchh is tarah hai :
"Ay Aa'aesha kabhi ount par sawaar ho kar (jange jamal) ladti ho aur kabhi khach'char par sawaar ho kar Nawaasa'ae Rasul (سلام الله عليهم) ke janaaze par jhagadti (جھگڑتی) ho aur oun ke naanaa ke paas dafn hone nahi detin, agar zindah raho gi to aek din haathi par sawaar ho kar ladogi ... khun kharaaba na ho is liae majburan Imaam Hasan (عليه السلام) ko baqi me dafn kar diya"
Mazkurah baala haqaa'aeq ke mota'alliq shia ketaabon me to likha hi hai, sunni ketaaben bhi bhari huei milti hain is haqiqat se bhi inkaar momkin nahi
Misaal ke taur par chand ketaabon ke hawaale molaaheza farma len :
Shia ketaab :
- manaaqebe aale abi taalib - jild 4 - p 44
- muntahal aamaal - jild 1 - p 321
Sunni ketaab :
- al kaamil fit taarikh - jild 2 - p 480 - zikro wafaatil hasan bin ali bin abi taalib عليه السلام matbuaah daar aehya at toraasul arabi beirut
- sharho nahjil balaagha le ibne abil hadid - jild 16 - p 13 wa baad
Tir baaraani ke mota'alliq :
Shia ketaabon me likha hai ke aa'aesha ki taraf se tir baaraani huei aur 70 tir Imaam Hasan (عليه السلام) ke janaaze me paiwast ho ga'ae
- muntahal aamaal - jild 1 - p 322
- manaaqebe aale abi taalib - jild 4 - p 44
Is ta'alluq se sunni ketaabon me mujhe koei matlab ya rewaayat nahi mili
Albatta Ibne Shahr Aashub ne sunni beraadaraan ke aek bahot bade aur maaruf aalim Zamakhshari ki ketaab "Rabioul Abraar wa Nosusul Akhbaar" se naql kiya hai ke :
Kuchh past afraad wa ashraar ne Banu Omaiy'yah waghaiyrah ke eima aur oun ki pusht panaahi se tir baaraani ki aur kaei tir Imaam Hasan (عليه السلام) ke janaaze me paiwast huae
Asl aebaarat wa matn is tarah hai :
رَموا باالنبال جنازته حتى سَلَّ منها سبعون نَبلاََ
"Imaam Hasan (عليه السلام) ke janaaze par tirbaaraani ki yahaan tak ke janaaze se 70 tir khainche (کھینچے) ga'ae"
(manaaqebe aale abi taalib - jild 4 - p 43 wa 44 matbuaah daarul azwa)
Rabioul abraar ... ke na'ae (new) edition me is ka zikr nahi hai, gumaane ghaalib hai ke ye waaqe'aah nikaal diya gaya hai
ham sunniyon se is baat ki tawaqqo nahi rakhte hain ke tamaam haqaa'aeq ko bayaan karen is liae ke oun ke nazdik jo afraad moqaddas hain oun ke kartut aur jaraa'aem ... par parda daalna aur ketaabon se ous ko hazf karna oun ki aadat hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
7 / ربيع الاول / 1442 ھ.ق
شب شہادت امام حسن عسکری ( عليه السلام )
No comments:
Comment