Sawaal az : +91 84297 0...
As salam walekum qibla Khairiyat hai
Qibla aik sawal tha kya hazrat Abu Talib wali the kya wilayat maula Ali ko wirse me mili hai kya ghadeer me Rasoole khuda ne apne chacha Abu Talib ka intzar kar rahe the tab Khuda ne kaha daro nahi ailan karo ham tumhari hifazat ka intezam kar rahe hai please qibla reference ke sath thoda jaldi jawab dijiyega
Hazrat Abu Talib ka martaba bayan kijiye Allah ki nazar me
Jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله
hazrat Abu Taalib (عليه السلام) apne daur me na sirf ye ke saiy'yede bat'ha, qabila'ae Qoraish ke maane huae raeis, wa buzurge Makkah the balke shahaamat, shojaa'at, haiybat aur makaareme akhlaaq me bhi aap ka jawaab nahi tha. eilmi aur maanawi aetebaar se bhi aap aek barjasta shakhsiyat the
eilmi wa adabi lehaaz se dunyaa'ae Arab ki maaruf shakhsiyat wa hakim "Aksam Bin Saiyfi = اَكثَم بن صَيفى " se puchha gaya ke aap ne hikmat, reyaasat, hilm aur seyaadat kis se sikha ? to kaha hilm-o-adab ke dost saiy'yede ajam wa Arab hazrat "Abu Taalib bin Abdul Mut'talib" se
(muntahal aamaal jild 1 p 152 fasl 9 taalif seqatul mohaddesin Shaikh Abbaas Qumi)
daanish mandaan aur olamaae yahudi wa masihi aur raahib ... bhi aap ki shaan-o-shaukat se ba khubi aagaah the
aasmaani ketaabon jaiyse Tauret, Injil, Zabur waghairah ka mokammal eilm aap ke paas tha ...
sunniyon ke mash'hur-o-maaruf aalim Ibne Abil Hadid ne janaabe Abu Taalib ki shaan me kaei sher kahe hain masalan kahte hain :
" وَلَولَا اَبُو طَالِبٍ وَابنُهُ "
" لَمَا مَثِّلَ الدِّينُ شَخصاََ فَقَاماََ "
" فَذَاكَ بِمَكَّةَ آوى و حامَى "
" وَ هَذَا بِيَثرَبَ جَسَّ الحِمَاماََ "
"agar Abu Taalib aur oun ke farzand (Amirul Momenin hazrat Ali عليه السلام) na hote to deen (islaam) na surat pakadta na khada ho sakta"
"ounhin (Abu Taalib) ne Makke me hazrat Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ko panaah di aur aap ki hemaayat ki aur ounhon (hazrat Ali عليه السلام) ne Madine me (islaam ki aeshaa'at ke liae) maut ko raund daala (maut se moqaabala kiya)"
(sharho nahjil balaagha jild 14 p 84 matbuaah daar aehya at'toraasul arabi)
baa'wojude ke hazrat Abu Taalib (عليه السلام) har aetebaar se aek baland paayah shakhsiyat aur aalaa tarin madaarij par faa'aez the ; aap ka Nabi ya Ambiya wa imaam ki tarah wali aur hujjat hona saabit nahi hai, is par mohkam dalil nahi hai
albatta Khoda aur Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ke nazdik qaabile aetemaad aur baa wosuq shakhsiyat the, aap ki amaanat daari par Khoda ko aetna bharosa tha ke ous ne Ambiya ke aasaar aur amaanaten aap ke paas rakhi thin, is ta'alluq se aap Ambiya ke wasi the
isi hawaale se aek rewaayat molaaheza farma len :
Dorust (دُرُست) ibne Mansur ne Imaam Kaazim (عليه السلام) se puchha :
اَكَانَ رَسُولُ الله صلى الله عليه و آله مَحجُوجاََ بِاَبِى طَالِب ؟ فَقَالَ : لَا ، وَلَكِنَّهُ كَانَ مُستَودَعاََ لِلوَصَايَا ، فَدَفَعَهَا اِلَيهِ صلى الله عليه وآله ، قَالَ : قُلتُ : فَدَفَعَ اِلَيهِ الوَصَايَا عَلَى اَنَّهُ مَحجُوج بِهِ ؟ فَقَالَ : لَو كَانَ مَحجُوجاََ بِهِ مَا دَفَعَ اِلَيهِ الوَصِيَّةَ ، قَالَ : فَقُلتُ : فَمَا كَانَ حَالُ اَبى طَالِب ؟ قَالَ اَقَرَّ بِالنَّبِى وَ بِمَا جَاءَ بِهِ وَ دَفَعَ اِلَيهِ الوَصَايَا وَ مَاتَ مِن يَومِهِ
Mafhum :
"keya Abu Taalib Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) par hujjat wa Imaam the ? [yaani keya Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) par Abu Taalib ki pairawi zaruri thi ?] farmaaya : nahi, balke Abu Taalib ke paas Ambiya ke wasaaya (amaanaten aur aasaar) amaanat ke taur par rakhe the oun wasaaya wa amaanaton ko Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ke sopurd kar diya, Dorust kahte hain : me ne phir kaha : Abu Taalib Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) par hujjat the tabhi to wasaaya oun ke sopurd kar diya ? Imaam (عليه السلام) ne farmaaya : agar Abu Taalib Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) par hujjat hote to wasiyat (amaanat ...) Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ke sopurd na karte, (is liae ke jab tak hujjat zindah hai Ambiya ki amaanaton ko ous ke paas rahna chaahiae) Dorust kahte hain : main ne arz ki : pas Abu Taalib kis haal me the ? [yaani jab Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) par hujjat nahi the to oun ka aqidah keya tha ? keya Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) par eimaan laae the ?] Imaam (عليه السلام) ne farmaaya : Nabi ka aeqraar kiya aur jo kuchh Nabi Allaah ki taraf se laa'ae the ous ka aeqraar kiya tha aur "wasaaya" ko oun ke hawaale kiya aur ousi roz inteqaal farmaaya [Natija : hazrat Abu Taalib (عليه السلام) Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) par eimaan laa'ae the lehaaza ye Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) par hujjat nahi the balke is ke bar'aks yaani Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) aap par hujjat the]
(osule kaafi jild 1 p 445 h 18 ketaabul hujjah baab mauledun nabi ... صلى الله عليه وآله )
Allaama Majlesi ne farmaaya : is hadis me "wasaaya" se moraad Ambiya ki ketaaben, asaa'ae hazrate Musa aur janaabe Solaiymaan ki anghuthi waghairah hai
(mir'aatul oqul fi sharhe akhbaare aalir'rasul jild 5 p 224 )
mazeed tashrih wa tafsir ke liae darj zail ketaaben mofid hain :
- sharhul kaafi al-osul war rauzah - jild 7 p 165 taalif mulla Mohammad Saaleh Maazandaraani
- mir'aatul oqul fi sharhe akhbaare aalir'rasul jild 5 p 224 taalif Allaama Mohammad Baaqir Majlesi
mazkurah baala hadis se eimaane hazrat Abu Taalib (عليه السلام) saabit kiya jaata hai lekin Allaama Amini (رضوان الله عليه) farmaate hain :
Mafhum :
"is hadis me hazrat Abu Taalib (عليه السلام) ka jo maqaamo martaba bataaya gaya hai wo eimaan ke martabe se baland tar wa baalaa tar hai, aap Ambiya ke wasi the ... is ke peshe nazar sawaal karne waale ne gomaan kiya ke hazrat Abu Taalib (عليه السلام) besat ke pahle Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) par hujjat the, albatta Imaam Kaazim (عليه السلام) ne is baat ki nafi kar di ... lekin Ambiya ka jaanashin aur wasi hona saabit kar diya, hazrat Abu Taalib (عليه السلام) ka ye martaba eimaan ke martabe wa maqaam se zeyaadah baland wa aala tarin darja hai ...
(al-ghadir jild 7 p 394 matbuaah daarul kotobul islaamiyah tehran qadimi edition )
Makke se Madine ki jaanib hijrat karne ke 3 saal pahle aur 10 besat me hazrat Abu Taalib (سلام الله عليه) ne inteqaal farmaaya, mash'hur qaul ke motaabiq 26 rajab thi aur waaqea'ae ghadir 10 hijri 18 zilhijjah ko huaa, taqriban 13 saal pahle hazrat Abu Taalib (عليه السلام) ka inteqaal ho chuka tha lehaaza intezaar karne ka sawaal hi paida nahi hota
Note :
dusra sawaal mustaqil hai lehaaza alag se bhejne ki zahmat karen
Niche di gaei video me "4:45 min" ke baad "eimaane hazrat Abu Taalib" molaaheza farmaa len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
13 / ربيع الاول / 1442 ھ.ق
Mashallah
ReplyDeleteShukriya
Delete