Sawaal az : mohtaram janaab Asif Imam sb / From Patna
Salaam
Mera ye sawal hai ke jitne bhi namwar mukhalefeen Ali the unka kirdar kya tha ? unki sawaneh hayat kya thi ? aur inki samaj me kya haisiyat thi aur kis ki bena par ye ohde par the ?
Jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
وعلى اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
aap ke sawaalaat kulli hain agar mokammal taur par moaiy'yan wa moshakh'khas hote aur Ali (عليه السلام) ke moaiy'yan wa moshakh'khas mokhaalif wa fard ke mota'alliq hote to jawaab dene me aasaani hoti
bahar kaif Hazrat Ali (عليه السلام) ke mokhaalefin aur dushman ke khosusiyaat wa kartut bahot zeyaadah hain, taarikh aur rewaayaat me ous ka zikr hai,
yahaan is amr ki wazaahat zaruri hai ke jetni ahaadis rewaayat ki jaa'aen gi "Sehaahe Sittah" (sunniyon ke nazdik hadis ki 6 mustanad ketaabon) ya beraadaraane sunni ki digar kotobe ahaadis se li gaei hain
Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ke dushmanon ke khosusiyaat me se 3 khosusiyat bahot mohim aur asli hai, molaaheza farma len :
- Haraam zaadah :
- Hazrat Ibne Abbaas ne Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) se rewaayat ki hai ke aap ne Amirul Momenin Ali (عليه السلام) se farmaaya :
- aek tulaani hadis me Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya :
- Ibne Asaakir ne Saabit se aur Saabit ne Anas se naql kiya hai ke khaiybar me Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne Ali (علیه اسلام) ka ta'aaruf karaaya aur farmaaya :
- Hazrat Ali (عليه السلام) ke dushman ki dusri khosusiyat nefaaq hai yaani aap ka dushman wa mokhaalif monaafiq hai :
- Rasule Khoda ( صلى الله عليه وآله ) ne farmaaya :
- Abu Sa'eid Khudri ne Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) se naql kiya hai ke aap ne farmaaya :
- Ali (عليه السلام) ke dushman ki tisri khosusiyat "Walade Haiz" hai :
لَا یَبغِضُكَ مِنَ العَرَبِ اِلَّا دَعِى وَلَا مِنَ الاَنصَارِ اِلَّا يَهُودِى ، وَلَا مِن سَائِرِ النَّاسِ اِلَّا شَقِى
"Arab me se koei aap se bughzo adaawat nahi rakhta magar zena zaadah aur ansaar me se nahi magar yahudi, aur tamaam insaanon me se nahi magar shaqi (bad bakht)"
(manaaqebul amirul momenin ya fazaa'aelo amiril momenin al maaruf ba al manaaqib ya manaaqebe khawarazmi p 323 h 330 taalif mowaf'fiq bin ahmad khawarazmi)
Lafze "Daei = دعى" ki mokhtasar wazaahat :
daei yaani koei shakhs daawa kare ke folaan mera farzand hai yaani ous ka baap naa moshakh'khas wa naa maalum hai
Imaam Hussain (عليه السلام) ne Ibne Zeyaad (لعنة الله عليه) ke baare me farmaaya tha "Daei ka beta daei" yaani Ibne Zeyaad aur ous ke baap ke baare me mokhtalif log daawa daar the ke Ibne Zeyaad aur ous ka baap (Zeyaad) mera beta hai
isi wajah se Zeyaad ko "Zeyaad Ibne Abih = زياد ابن ابيه " (Zeyaad apne baap ka beta) aur Ibne Zeyaad ko "Ibne Marjaanah = ابن مرجانه" (Marjaanah ka beta) kaha jaata hai
Marjaana is ki maa aur aek faahesha aurat thi, zeyaad ki maa yaani Ibne Zeyaad ki daadi bhi bad'kaar wa bad chalan aurat thi donon ke baap naa maalum hain
zeyaarate aashura me bhi hai Ibne Marjaana par Allah ki laanat ho
bade bade olamaa'ae sunni ne likha hai ke Rasule Akram aur Amirul Momenin Ali (صلوات الله عليهم) ke sakht tarin dushman jaiyse Marwaan Bin Hakam, Amr Aas aur Mo'aawiyah waghairah ke baap naa maalum hain, kaei logon ka daawa tha ke ye mera beta hai
jis zaani se surat milti thi ousi se mansub kar dete the
... اَنتَ مَولَى مَن اَنَا مَولَاهُ وَ اَنَا مَولَى كُلِّ مُؤمِنِِ وَ مُؤمِنَةِِ لَا يُحِبُّكَ اِلَّا طَاهِرُالوِلَادَةِ وَلَا يُبغِضُكَ اِلَّا خَبِيثُ الوِلَادَة ...
"... aap ous ke maula hain jis ka me maula hun aur me har momin wa momenah ka maula hun, aap ko dost nahi rakhe ga magar wo jis ki welaadat paak wa taahir ho (yaani halaal zaadah ho) aur aap ko dushman nahi rakhe ga magar jis ki welaadat khabis ho (yaani haraam zaadah ho) ..."
(yanaa bioul mawad'dah jild 1 p 132 baab 44 taalif shaikh solaimaan qunduzi)
... يَا اَيُّهَا النَّاسُ اِمتَحِنُوا اَولَادَكُم بِحُبِّهِ فَاِنَّ عَلِيّاََ لَا يَدعُوا اِلَى ضَلَالَةِِ وَلَا يُبعِدُ عَن هُدََى فَمَن اَحَبَّهُ فَهُوَ مِنكُم وَمَن اَبغَضَهُ فَهُوَ لَيسَ مِنكُم
"... ay logo apni aulaad ka imtehaan Ali ki mohabbat ke zariae karo (parkho) is liae ke be'shak Ali tumhen zalaalat ki taraf nahi bolaate hain aur kisi ko hedaayat se dur nahi karte hain pas tumhaari aulaad me se jo bhi Ali se mohabbat kare wo tum me se hai (yaani halaal zaadah hai) aur tumhaari aulaad me se jo bhi Ali se dushmani wa adaawat rakhe wo tum me se nahi hai (yaani naa jaa'aez aulaad hai)
(taarikhe demashq jild 42 p 288 h 8818 tarjoma imaam ali عليه السلام)
لَا يُحِبُّ عَلِيّاََ مُنَافِق وَلَا يَبغَضُهُ مُؤمِن
"koei bhi monaafiq Ali se mohabbat nahi kar sakta aur koei bhi momin Ali se bughz nahi rakh sakta"
(sonanut tirmezi jild 5 p 594 wa 601 ketaabul manaaqib baab 21 h 3717 wa 3736)
لَا يَبغَضُ عَلِيّاََ اِلَّا مُنَافِق اَو فَاسِق اَو صَاحِبُ دُنيَا
"Ali se bughz nahi rakh sakta magar monaafiq ya faasiq ya dunya talab"
(taarikhe demashq jild 42 p 285 h 8817 tarjoma imaam ali عليه السلام)
is hadis ke motaabiq Dushmane Ali (عليه السلام) ki khosusiyat monaafiq ke aelaawah faasiq ya dunya talab bhi hai
Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) se marwi hai :
مَن لَم يَعرِف حَقَّ عَلِىِِ فَهُوَ اَحَدُ مِنَ الثَّلَاثِ : اِمَّا اُمُّهُ الزَّانِيَةِ اَو حَمَلَتهُ اُمُّهُ مِن غَيرِ طُهرِِ اَو مُنَافِق
"jo shakhs bhi Ali ke haq ko na pahchaane wo tin me se aek hai (yaani 3 haalat se khaarij nahi hai) ya ous ki maa zaaniyah hai ya maahwaari ki haalat me ous ki maa haamelah huei hai ya monaafiq hai"
(Yanaabioul Mawad'dah jild 2 p 295 taalif Solaymaan Bin Ibraahim Qunduzi)
is baat ka imkaan hai ke ye saare khosusiyaat ... Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ke aek hi dushman me yakja hon yaani ous ka nutfa haraam ho aur monaafiq, faasiq aur walade haiz ... bhi ho
jis ke khosusiyaat aiyse hon ous ke kirdaar ke baare me aap khud hi andaaza laga len
jin ke baap naa maalum hain aur zaani, monaafiq, faasiq, zaalim, qaatile sahaaba, sharaabi aur shaiytaan sefat hain Pakistan me oun ko moqaddas shakhsiyaat ke taur par pesh kiya jaa raha hai, oun se mohabbat karne aur razeyallaah anho likhne ke liae kaha jaa raha hai aur oun ki haqiqat bataane ko tauhine sahaaba aur tauhine mazhab samjha jaa raha hai ... ye inqelaabe zamaana nahi to phir keya hai ?
Sad afsos
عقل کے اندھوں کو کچھ کا کچھ نظر آتا ہے
مجنون نظر آتی ہے ، لیلی نظر آتا ہے
aql ke andhon ko kuchh ka kuchh nazar aata hai
majnun nazar aati hai, laila nazar aata hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
3 / ربيع الاول / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment