call boy | call girl ka hukm | kamaaei ka paisa | noqsaanaat - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, October 18, 2020

call boy | call girl ka hukm | kamaaei ka paisa | noqsaanaat

sawaal az :......


Mujhe ek sawal malum Karna tha Jo ki mujhse mere ek dost kiya tha Ap mera name or number show na kijiyega


Wo call boy ki job karta he ushi se uski family ka kharch chalta he kya wo uske liye jaiz hai ya haram


jawaab :


باسمه تعالى


السلام على الحسين و على على ابن الحسين

وعلى اولاد الحسين و على اصحاب الحسين


سلام عليكم

agar is se aap ki moraad call girl jaiysi koei chiz hai to jis tarah call girl ka dhanda bahot ghenaaona ( گھناؤنا ) aur sangin jurm wa sakht gunaah hai ousi tarah ye bhi intehaaei bad tarin dhanda wa fel hai aur gunaahe kabirah wa haraam hai


aayaat aur rewaayaat me is ki shadid wa sakht tarin alfaaz me mazammat ki gaei hai

samaaji aetebaar se bhi ghenaaona fel hai

dunya aur aakherat me is ke bahot zeyaadah noqsaanaat aur mohlik asaraat hain


is se kamaaya huaa paisa haraam hai


aap ke dost apni family ke lahu me haraam ki kamaaei ka zahr ghol rahe hain


ye aiysa zahr hai jis ke asaraat family aur aulaad par bhi intehaaei khatar naak padte hain

halaal kamaaei ke mokhtalif tariqe aur raaste hone ke baa wojud is ki lat keyon lag gaei ? !


tauba ka darwaaza khula hai apne dost se kahen maasumin ( صلوات الله عليهم ) ke zariae baargaahe khoda me sach'chi tauba karen yaani aaeindah is gunaah ke na karne ka azm qawi karen is se baaz rahna laazim hai


surah zomar aayat 53 me hai :


"...ay mere bando jinhon ne apni jaanon par zeyaad'ti ki hai ( gunaah ka irtekaab kiya hai ) allaah ki rahmat se maayus na hona , yaqinan allaah tamaam gunaahon ko moaaf farmaata hai , wo yaqinan bada moaaf karne waala , mehrabaan hai"


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


26 / صفر / 1442ھ.ق

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen